zarre-zarre mein nazar aati hai ranai mujhe
zarre-zarre meñ nazar aatī hai ra.anā.ī mujhe
yaad hai haañ yaad hai vo 'ahd-e-barnā.ī mujhe
ta.ana-zan haiñ phir mirī gulshan-pasandī par harīf
phir kahīñ le chal junūn-e-dasht-e-paimā.ī mujhe
jalva-e-qaus-e-qazah hai yā mai-e-rañgīñ kī mauj
yā nazar aayā fareb-e-husn-e-lailā.ī mujhe
vajd karatā huuñ sadā-e-nāla-e-nā-qūs par
mast kar dete haiñ naġhmāt-e-kalīsā.ī mujhe
baaġh meñ har gaam par taarī huā jaatā hai ġhash
ātish-e-gul hai sharār-e-barq-e-sīnā.ī mujhe
ye hayāt-e-dil-nashīñ ye ik suhānī bazm-e-nāz
ġhaur se dekhā to ik dhokā nazar aa.ī mujhe
jab mire aivān-e-dil par chhā ga.e jalve tire
nañg-e-mahmil laila-e-hasrat nazar aa.ī mujhe
kaash vo 'ehsān' mujh ko apnā saudā.ī kaheñ
yuuñ to ik 'ālam kahā karatā hai saudā.ī mujhe
zarre-zarre mein nazar aati hai ranai mujhe
yaad hai han yaad hai wo 'ahd-e-barnai mujhe
tana-zan hain phir meri gulshan-pasandi par harif
phir kahin le chal junun-e-dasht-e-paimai mujhe
jalwa-e-qaus-e-qazah hai ya mai-e-rangin ki mauj
ya nazar aaya fareb-e-husn-e-lailai mujhe
wajd karata hun sada-e-nala-e-na-qus par
mast kar dete hain naghmat-e-kalisai mujhe
bagh mein har gam par tari hua jata hai ghash
aatish-e-gul hai sharar-e-barq-e-sinai mujhe
ye hayat-e-dil-nashin ye ek suhani bazm-e-naz
ghaur se dekha to ek dhoka nazar aai mujhe
jab mere aiwan-e-dil par chha gae jalwe tere
nang-e-mahmil laila-e-hasrat nazar aai mujhe
kash wo 'ehsan' mujh ko apna saudai kahen
yun to ek 'alam kaha karata hai saudai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.