main akela hi nahin bekal tumhaari yaad mein
maiñ akelā hī nahīñ bekal tumhārī yaad meñ
hashr barpā ho rahā hai ’ālam-e-ījād meñ
haañ mirī hastī kabhī thī nāzish-e-husn-e-chaman
ab to muddat se Thikānā hai kaf-e-sayād meñ
har rag-o-pai meñ sarāyat kar rahā hai iztirāb
zindagī kā raaz paatā huuñ tumhārī yaad meñ
ik junūñ-parvar jhalak de kar harīm-e-nāz se
tum ne lākhoñ bijliyāñ bhar diiñ dil-e-nāshād meñ
khul gayā be-iltifātī kā mu'amma khul gayā
lutf kī duniyā hai pinhāñ parda-e-be-dād meñ
shab kī tārīkī meñ ye larzāñ sitāroñ ke hujūm
gulistāñ kī pattī-pattī hai kisī kī yaad meñ
chāñdnī rātoñ ke sannāTe meñ uf un kā ḳhayāl
saikḌoñ mahshar taḌapte haiñ lab-e-fariyād meñ
nuur ke taḌke meñ jab taare jhukāte haiñ nazar
ik jahāñ karvaT badaltā hai dil-e-nāshād meñ
kyā kahūñ 'ehsān' us rañgīñ tasavvur kā surūr
baat ye hāsil nahīñ hotī ḳhudā kī yaad meñ
main akela hi nahin bekal tumhaari yaad mein
hashr barpa ho raha hai ’alam-e-ijad mein
han meri hasti kabhi thi nazish-e-husn-e-chaman
ab to muddat se Thikana hai kaf-e-sayaad mein
har rag-o-pai mein sarayat kar raha hai iztirab
zindagi ka raaz pata hun tumhaari yaad mein
ek junun-parwar jhalak de kar harim-e-naz se
tum ne lakhon bijliyan bhar din dil-e-nashad mein
khul gaya be-iltifati ka mu'amma khul gaya
lutf ki duniya hai pinhan parda-e-be-dad mein
shab ki tariki mein ye larzan sitaron ke hujum
gulistan ki patti-patti hai kisi ki yaad mein
chandni raaton ke sannaTe mein uf un ka KHayal
saikDon mahshar taDapte hain lab-e-fariyaad mein
nur ke taDke mein jab tare jhukate hain nazar
ek jahan karwaT badalta hai dil-e-nashad mein
kya kahun 'ehsan' us rangin tasawwur ka surur
baat ye hasil nahin hoti KHuda ki yaad mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.