na tu mah ban ke falak pe rah na tu phul ban ke chaman mein aa
na tu mah ban ke falak pe rah na tu phul ban ke chaman mein aa
Ehsan Danish
MORE BYEhsan Danish
na tū maah ban ke falak pe rah na tū phuul ban ke chaman meñ aa
ye tamām jalve sameT kar kisī dil-gudāz-e-phaban meñ aa
adab ai ḳhayāl-e-ḳhudā-numā ki falak se aane lagī sadā
tujhe ārzū-e-hayāt hai tū dayār-e-dār-o-rasan meñ aa
na jamāl ho na jalāl ho na javāb ho na savāl ho
jo alast-o-kun se thī peshtar to usī adā-e-kuhan meñ aa
mirā mudda'ā-e-nazar hai tū maiñ taḌap rahā huuñ kidhar hai tū
mirī kā.ināt-e-kHayāl ban mire mulk-e-she'r-o-sukHan meñ aa
ye bhī koī shān-e-nmūd hai ki ḳhayāl hī meñ vajūd hai
tū hijāb-e-lāla-o-gul meñ bas tū libās-e-sarv-o-saman meñ aa
tirī zarra-zarra ko justujū tirī patte-patte ko aarzū
kabhī parda-hā-e-jamāl-o-bū se nikal ke sahn-e-chaman meñ aa
na tu mah ban ke falak pe rah na tu phul ban ke chaman mein aa
ye tamam jalwe sameT kar kisi dil-gudaz-e-phaban mein aa
adab ai KHayal-e-KHuda-numa ki falak se aane lagi sada
tujhe aarzu-e-hayat hai tu dayar-e-dar-o-rasan mein aa
na jamal ho na jalal ho na jawab ho na sawal ho
jo alast-o-kun se thi peshtar to usi ada-e-kuhan mein aa
mera mudda'a-e-nazar hai tu main taDap raha hun kidhar hai tu
meri kainat-e-kHayal ban mere mulk-e-she'r-o-sukHan mein aa
ye bhi koi shan-e-nmud hai ki KHayal hi mein wajud hai
tu hijab-e-lala-o-gul mein bas tu libas-e-sarw-o-saman mein aa
teri zarra-zarra ko justuju teri patte-patte ko aarzu
kabhi parda-ha-e-jamal-o-bu se nikal ke sahn-e-chaman mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.