aks-e-jaanan hum shabih-e-surat-e-jaanana hum
'aks-e-jānāñ ham shabīh-e-sūrat-e-jānāna ham
āshnā haiñ ho nahīñ sakte kabhī begāna ham
tujh ko kyā ma'alūm guzrī kis tarah furqat kī raat
kah phire ik ik sitāre se tirā afsāna ham
hai har ik botal meñ raqsāñ barq-e-muztar kā ḳhamīr
kyuuñ ho muhtāj-e-charāġh-e-majlis-e-mai-ḳhāna ham
hai dam-e-āḳhir sirhāne loriyāñ detī hai maut
sunte-sunte kaash so jaa.eñ tirā afsāna ham
rahm ai snnā-e'-mehr-o-māh aaj aate haiñ vo
haaye kis se māñgne jaa.eñ charāġh-e-ḳhāna ham
paḌ ga.ī kis mehr-sīmā kī nigāh-e-barq-pāsh
dekhte haiñ dil meñ buniyād-e-tajallī-ḳhāna ham
aa gayā hai phir kHayāl-e-mai-kada vaqt-e-sujūd
sāmne paate haiñ mehrāb-e-lab-e-paimāna ham
sar-ba-sajda tere har zarre pe rose-e-hashr tak
ham raheñge ai zamīn-e-kūcha-e-jānāna ham
kar yaqīñ vā'iz ki jū-e-āb-e-zamzam ho ravāñ
pī ke rakh deñ jis jagah rastā huā paimāna ham
dekh ab girte haiñ tharrā.e hue hāthoñ se jaam
chheḌte haiñ mai-gusāroñ meñ tirā afsāna ham
is dil-e-vīrāñ meñ apnī yaad kā 'ālam na pūchh
shab ko kar dete haiñ ThanDā jab charāġh-e-ḳhāna ham
ye irāda hai pahan kar ik gadāyāna-libās
ḳhalq ko taḌpā.eñ kah-kah kar tirā afsāna ham
kis liye behosh ho ai hazrat-e-mūsā uTho
ham uThā.eñge naqāb-e-'āriz-e-jānāna ham
manzil-e-ulfat meñ haiñ 'ehsān' donoñ sadd-e-rāh
khā.eñ kyuuñ āḳhir fareb-e-ka'aba-o-but-kHāna ham
'aks-e-jaanan hum shabih-e-surat-e-jaanana hum
aashna hain ho nahin sakte kabhi begana hum
tujh ko kya ma'alum guzri kis tarah furqat ki raat
kah phire ek ek sitare se tera afsana hum
hai har ek botal mein raqsan barq-e-muztar ka KHamir
kyun ho muhtaj-e-charagh-e-majlis-e-mai-KHana hum
hai dam-e-aKHir sirhane loriyan deti hai maut
sunte-sunte kash so jaen tera afsana hum
rahm ai snna-e'-mehr-o-mah aaj aate hain wo
haye kis se mangne jaen charagh-e-KHana hum
paD gai kis mehr-sima ki nigah-e-barq-pash
dekhte hain dil mein buniyaad-e-tajalli-KHana hum
aa gaya hai phir kHayal-e-mai-kada waqt-e-sujud
samne pate hain mehrab-e-lab-e-paimana hum
sar-ba-sajda tere har zarre pe rose-e-hashr tak
hum rahenge ai zamin-e-kucha-e-jaanana hum
kar yaqin wa'iz ki ju-e-ab-e-zamzam ho rawan
pi ke rakh den jis jagah rasta hua paimana hum
dekh ab girte hain tharrae hue hathon se jam
chheDte hain mai-gusaron mein tera afsana hum
is dil-e-viran mein apni yaad ka 'alam na puchh
shab ko kar dete hain ThanDa jab charagh-e-KHana hum
ye irada hai pahan kar ek gadayana-libas
KHalq ko taDpaen kah-kah kar tera afsana hum
kis liye behosh ho ai hazrat-e-musa uTho
hum uThaenge naqab-e-'ariz-e-jaanana hum
manzil-e-ulfat mein hain 'ehsan' donon sadd-e-rah
khaen kyun aaKHir fareb-e-ka'aba-o-but-kHana hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.