ye tamanna thi ki takmil-e-tamanna karte
ye tamannā thī ki takmīl-e-tamannā karte
sāmne tujh ko biThā ke ham terī puujā karte
kuchh na hotā jo mohabbat meñ to aisā karte
ham tere husn se īmān kā saudā karte
sab namāzeñ hī ik sajde meñ adā ho jātīñ
be-ḳhudī meñ jo dar-e-yār pe sajda karte
'ishq baḳhshā thā to phir aisī nazar kī hotī
dil ke ā.īne meñ jalva terā dekhā karte
sajda karne ko agar miltā terā naqsh-e-qadam
haram aur dair meñ aa kar tujhe sajda karte
kaash is tarah se takmīl-e-ibādat hotī
shauq-e-sajda meñ qadam yaar ke chūmā karte
ai 'fanā' yaar kā dīdār agar ho jaa.e
jaan kyā chiiz hai īmān kā saudā karte
ye tamanna thi ki takmil-e-tamanna karte
samne tujh ko biTha ke hum teri puja karte
kuchh na hota jo mohabbat mein to aisa karte
hum tere husn se iman ka sauda karte
sab namazen hi ek sajde mein ada ho jatin
be-KHudi mein jo dar-e-yar pe sajda karte
'ishq baKHsha tha to phir aisi nazar ki hoti
dil ke aaine mein jalwa tera dekha karte
sajda karne ko agar milta tera naqsh-e-qadam
haram aur dair mein aa kar tujhe sajda karte
kash is tarah se takmil-e-ibaadat hoti
shauq-e-sajda mein qadam yar ke chuma karte
ai 'fana' yar ka didar agar ho jae
jaan kya chiz hai iman ka sauda karte
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.