ab dekh ke ji ghabraata hai sawan ki suhani raaton ko
ab dekh ke ji ghabraata hai sawan ki suhani raaton ko
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
ab dekh ke jī ghabrātā hai sāvan kī suhānī rātoñ ko
piyā chhoḌ ga.e dil toḌ ga.e ab aag lage barsātoñ ko
ai jān-e-mohabbat jān-e-ġhazal aao to tumhārī nazr kareñ
āñkhoñ meñ sajā.e baiThe haiñ ham pyaar bharī sauġhātoñ ko
yuuñ pyaar kī qasmeñ khā khā kar kyuuñ jhūTī tasallī dete ho
bas rahne do ham jaan ga.e sarkār tumhārī bātoñ ko
maslā huā āñchal shānoñ par ye zulf kī laT uljhī uljhī
āñkhoñ kī ḳhumārī kahtī hai rahte ho kahīñ tum rātoñ ko
zulfoñ ko havā meñ lahrānā hañs hañs ke tumhārā bal khānā
andāz haiñ sab dil lene ke ham jaan ga.e in bātoñ ko
be-dard hasīnoñ kī ḳhātir kyuuñ hote ho badnām 'fanā'
saffāk sitam-gar kyā samjheñ ham dil-vāloñ kī bātoñ ko
ab dekh ke ji ghabraata hai sawan ki suhani raaton ko
piya chhoD gae dil toD gae ab aag lage barsaton ko
ai jaan-e-mohabbat jaan-e-ghazal aao to tumhaari nazr karen
aankhon mein sajae baiThe hain hum pyar bhari saughaton ko
yun pyar ki qasmen kha kha kar kyun jhuTi tasalli dete ho
bas rahne do hum jaan gae sarkar tumhaari baaton ko
masla hua aanchal shanon par ye zulf ki laT uljhi uljhi
aankhon ki KHumari kahti hai rahte ho kahin tum raaton ko
zulfon ko hawa mein lahrana hans hans ke tumhaara bal khana
andaz hain sab dil lene ke hum jaan gae in baaton ko
be-dard hasinon ki KHatir kyun hote ho badnam 'fana'
saffak sitam-gar kya samjhen hum dil-walon ki baaton ko
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.