teri chashm-e-karam ka gar ishaara ho to aisa ho
terī chashm-e-karam kā gar ishāra ho to aisā ho
kahe ḳhud be-kasī merī sahārā ho to aisā ho
na jumbish ho laboñ par aur dīvānoñ kī bin aa.e
nigāhoñ hī nigāhoñ meñ ishāra ho to aisā ho
ba-juz yād-e-sanam jo sab jalā kar ḳhaak kar Daale
mohabbat kā mere dil meñ sharāra ho to aisā ho
na phaile ġhair ke aage kabhī dast-e-talab merā
mire vāris karam mujh par tumhārā ho to aisā ho
ho zikr-e-yār bāteñ yaar kī aur yaar ke charche
huā hai rab se shuġhl-e-zīst hamārā ho to aisā ho
ho sar par dāman-e-vāris laboñ par kalma-e-tayyab
safar mahshar ko yā-rab jab hamārā ho to aisā ho
diyā hai dil to dil meñ dard ho aur dard meñ lazzat
karam mujh par mirī jaañ gar tumhārā ho to aisā ho
jahāñ dekhūñ jidhar dekhūñ sahar dekhūñ yā shab dekhūñ
tū hī to bas nazar aa.e nazāra ho to aisā ho
kisī karvaT kisī pahlū sukūn-e-dil na pāūñ maiñ
tirī ulfat meñ hāl-e-dil hamārā ho to aisā ho
jabīñ sajde meñ ho aur sāmne tū ho nigāhoñ meñ
'farāz' a.alam se jaanā jab hamārā ho to aisā ho
teri chashm-e-karam ka gar ishaara ho to aisa ho
kahe KHud be-kasi meri sahaara ho to aisa ho
na jumbish ho labon par aur diwanon ki bin aae
nigahon hi nigahon mein ishaara ho to aisa ho
ba-juz yaad-e-sanam jo sab jala kar KHak kar Dale
mohabbat ka mere dil mein sharara ho to aisa ho
na phaile ghair ke aage kabhi dast-e-talab mera
mere waris karam mujh par tumhaara ho to aisa ho
ho zikr-e-yar baaten yar ki aur yar ke charche
hua hai rab se shughl-e-zist hamara ho to aisa ho
ho sar par daman-e-waris labon par kalma-e-tayyab
safar mahshar ko ya-rab jab hamara ho to aisa ho
diya hai dil to dil mein dard ho aur dard mein lazzat
karam mujh par meri jaan gar tumhaara ho to aisa ho
jahan dekhun jidhar dekhun sahar dekhun ya shab dekhun
tu hi to bas nazar aae nazara ho to aisa ho
kisi karwaT kisi pahlu sukun-e-dil na paun main
teri ulfat mein haal-e-dil hamara ho to aisa ho
jabin sajde mein ho aur samne tu ho nigahon mein
'faraaz' aalam se jaana jab hamara ho to aisa ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.