tu apne wahm-e-hasti se nikal hasti usi ki hai
tū apne vahm-e-hastī se nikal hastī usī kī hai
tū us ke ilm kā ma.alūm ban bastī usī kī hai
vo har zarra kā ḳhāliq hai vo har zarra kā mālik hai
bulandī bhī usī kī aur ye pastī usī kī hai
mirā mujh meñ ba-juz ik vahm-e-hastī ke nahīñ kuchh bhī
maiñ apnī zaat se ḳhud niist huuñ hastī usī kī hai
tū nāqis hai vo kāmil hai tū murda hai vo zinda hai
adam hai tū vahī ābād hai bastī usī kī hai
sharāb-e-ishq-irfāñ pī ke har dam mast huuñ 'ġhausī'
mujhe mastī jo rahtī hai to ye mastī usī kī hai
tu apne wahm-e-hasti se nikal hasti usi ki hai
tu us ke ilm ka malum ban basti usi ki hai
wo har zarra ka KHaliq hai wo har zarra ka malik hai
bulandi bhi usi ki aur ye pasti usi ki hai
mera mujh mein ba-juz ek wahm-e-hasti ke nahin kuchh bhi
main apni zat se KHud nist hun hasti usi ki hai
tu naqis hai wo kaamil hai tu murda hai wo zinda hai
adam hai tu wahi aabaad hai basti usi ki hai
sharab-e-ishq-irfan pi ke har dam mast hun 'ghausi'
mujhe masti jo rahti hai to ye masti usi ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.