KHuda ke pas kya hai ek hu hai
ḳhudā ke paas kyā hai ek hū hai
jo kuchh bhī hai nabī ke rū-ba-rū hai
usī ke jalve haiñ donoñ jahāñ meñ
tajallī yaar kī hī chār-sū hai
ahad ko parda ahmad meñ dekhā
ḳhudā kā shukr niklī aarzū hai
nahīñ huuñ maiñ nahīñ huuñ maiñ nahīñ huuñ
mire maulā tirā jalva hai tū hai
nikāle yaar ko ab DhūñDh kar ham
vo ham meñ hai hamāre rū-ba-rū hai
mohammad par fidā sau jaan se maiñ
ye mere yaar ke bas hū-bahū hai
nahīñ 'ġhausī' ko hastī aur anā bhī
ye naqsha yaar kā hai sirr-e-hū hai
KHuda ke pas kya hai ek hu hai
jo kuchh bhi hai nabi ke ru-ba-ru hai
usi ke jalwe hain donon jahan mein
tajalli yar ki hi chaar-su hai
ahad ko parda ahmad mein dekha
KHuda ka shukr nikli aarzu hai
nahin hun main nahin hun main nahin hun
mere maula tera jalwa hai tu hai
nikale yar ko ab DhunDh kar hum
wo hum mein hai hamare ru-ba-ru hai
mohammad par fida sau jaan se main
ye mere yar ke bas hu-bahu hai
nahin 'ghausi' ko hasti aur ana bhi
ye naqsha yar ka hai sirr-e-hu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.