mere dil mein tum aae dil ko mere shad kar Dala
mire dil meñ tum aa.e dil ko mere shaad kar Daalā
raho ābād tum tum ne mujhe ābād kar Daalā
ḳhudī meñ mar rahā thā duur thā apnī haqīqat se
chhuḌāyā kyā mujhe ḳhud se mujhe āzād kar Daalā
tumhāre haath mar miTnā hai kyā ik zindagānī hai
huā ābād vo tum ne jise barbād kar Daalā
meñ kyā thā ek sūrat jis meñ jān-o-dil na tan kuchh bhī
mirī sūrat meñ kyā aa.e mujhe ābād kar Daalā
baḌī banda-navāzī kī baḌā ehsān kiyā tum ne
jo bhūle se bhī ham bhūle huoñ ko yaad kar Daalā
diyā īmāñ aur īmāñ laa.e the ham jin par un ko bhī
hameñ to aap ne ābād hī ābād kar Daalā
nazar kyā mil ga.ī 'ġhausī' ko vārafta kyā tum ne
maiñ sadqe āñkhoñ āñkhoñ hī meñ kyā irshād kar Daalā
mere dil mein tum aae dil ko mere shad kar Dala
raho aabaad tum tum ne mujhe aabaad kar Dala
KHudi mein mar raha tha dur tha apni haqiqat se
chhuDaya kya mujhe KHud se mujhe aazad kar Dala
tumhaare hath mar miTna hai kya ek zindagani hai
hua aabaad wo tum ne jise barbaad kar Dala
mein kya tha ek surat jis mein jaan-o-dil na tan kuchh bhi
meri surat mein kya aae mujhe aabaad kar Dala
baDi banda-nawazi ki baDa ehsan kiya tum ne
jo bhule se bhi hum bhule huon ko yaad kar Dala
diya iman aur iman lae the hum jin par un ko bhi
hamein to aap ne aabaad hi aabaad kar Dala
nazar kya mil gai 'ghausi' ko warafta kya tum ne
main sadqe aankhon aankhon hi mein kya irshad kar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.