wo kahte hain main ab to ho gaya hun
vo kahte haiñ maiñ ab to ho gayā huuñ
maiñ kahtā huuñ tumheñ tum ho maiñ kyā huuñ
vo kahte haiñ ki to parda hai merā
maiñ kahtā huuñ tumhārā ā.īna huuñ
vo kahte haiñ ki mujh jaisā hai kuchh to
maiñ kahtā huuñ bhalā maiñ aap sā huuñ
vo kahte haiñ tirī hastī hī kiyā hai
maiñ kahtā huuñ tumhārā sho'bada huuñ
vo kahte haiñ nahīñ thā pahle kuchh to
maiñ kahtā huuñ tumhīñ se kuchh banā huuñ
vo kahte haiñ ki to rahtā kahāñ hai
maiñ kahtā huuñ tumhīñ meñ to basā huuñ
vo kahte haiñ ki maiñ to ek hī haiñ
maiñ kahtā huuñ 'ināyat hai maiñ kyā huuñ
vo kahte haiñ ki tujh meñ sab ham hī haiñ
maiñ kahtā huuñ vahī ham aap kā huuñ
vo kahte haiñ nahīñ 'ġhausī' kuchh ab to
maiñ hī 'ġhausī' maiñ hī 'ġhausī'-numā huuñ
wo kahte hain main ab to ho gaya hun
main kahta hun tumhein tum ho main kya hun
wo kahte hain ki to parda hai mera
main kahta hun tumhaara aaina hun
wo kahte hain ki mujh jaisa hai kuchh to
main kahta hun bhala main aap sa hun
wo kahte hain teri hastī hi kiya hai
main kahta hun tumhaara sho'bada hun
wo kahte hain nahin tha pahle kuchh to
main kahta hun tumhin se kuchh bana hun
wo kahte hain ki to rahta kahan hai
main kahta hun tumhin mein to basa hun
wo kahte hain ki main to ek hi hain
main kahta hun 'inayat hai main kya hun
wo kahte hain ki tujh mein sab hum hi hain
main kahta hun wahi hum aap ka hun
wo kahte hain nahin 'ghausi' kuchh ab to
main hi 'ghausi' main hi 'ghausi'-numa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.