Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

in dinon josh-e-junun hai tere diwane ko

Ghulam Rasool Naaib

in dinon josh-e-junun hai tere diwane ko

Ghulam Rasool Naaib

MORE BYGhulam Rasool Naaib

    in dinoñ josh-e-junūñ hai tere dīvāne ko

    log har-sū se chale aate haiñ samjhāne ko

    ḳhūn-e-dil piine ko laḳht-e-jigar khāne ko

    ye ġhizā miltī hai sayyad tere dīvāne ko

    shahr meñ apne ye sayyad ne munādī kar

    koī chheḌo nahīñ dekho mere dīvāne ko

    ai shah-e-husn tere husn ke sadqa jā۔ūñ

    ḳhuub tasvīr banā.ī mere dil bahlāne ko

    is qadar zulm kiyā mar gayā 'āshiq terā

    nā'sh-e-‘nā.ib’ ke liye phirte haiñ dafnāne ko

    in dinon josh-e-junun hai tere diwane ko

    log har-su se chale aate hain samjhane ko

    KHun-e-dil pine ko laKHt-e-jigar khane ko

    ye ghiza milti hai sayyad tere diwane ko

    shahr mein apne ye sayyad ne munadi kar di

    koi chheDo nahin dekho mere diwane ko

    ai shah-e-husn tere husn ke sadqa ja۔un

    KHub taswir banai mere dil bahlane ko

    is qadar zulm kiya mar gaya 'ashiq tera

    na'sh-e-‘naib’ ke liye phirte hain dafnane ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now