man ka mala jap raha hun rakh ke tumko samne
man kā maalā jap rahā huuñ rakh ke tum ko sāmne
aarzū ye hai ki nikle dam tumhāre sāmne
ho rahe haiñ har dam qurbāñ jān-o-dil se yaar ham
tum hamāre sāmne hoñ aur ham tumhāre sāmne
hashr ke din bhī raheñge mast dīvāne tire
sab ḳhudā ke sāmne aur ham tumhāre sāmne
duniyā khetī āḳhirat kī 'āshiqoñ ke vāste
kho rahe haiñ apnī hastī ham tumhāre sāmne
baa'd marne ke hameñ kuchh aa.e apnā maza
dhuum se 'nā.ib' kā mātam ho tumhāre sāmne
man ka mala jap raha hun rakh ke tum ko samne
aarzu ye hai ki nikle dam tumhaare samne
ho rahe hain har dam qurban jaan-o-dil se yar hum
tum hamare samne hon aur hum tumhaare samne
hashr ke din bhi rahenge mast diwane tere
sab KHuda ke samne aur hum tumhaare samne
duniya kheti aaKHirat ki 'ashiqon ke waste
kho rahe hain apni hasti hum tumhaare samne
ba'd marne ke hamein kuchh aae apna maza
dhum se 'naib' ka matam ho tumhaare samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.