KHuda ko maine dekha hai mere murshid ki surat mein
KHuda ko maine dekha hai mere murshid ki surat mein
Ghulam Rasool Naaib
MORE BYGhulam Rasool Naaib
ḳhudā ko maiñ ne dekhā hai mere murshid kī sūrat meñ
hadīs-e-man ra.ānī hai nabī-allāh kī sūrat meñ
ḳhudā ne ḳhud hai farmāyā nabī kī shaan meñ yaaro
mohammad kī jo sūrat hai nabī vo merī sūrat meñ
maiñ dekhā shaan ahmad kī bilā-shak mere murshid meñ
merā īmān-e-kāmil ban gayā murshid kī sūrat meñ
maiñ dekhā diin se īmān ko mere murshid haiñ
ki 'nā.ib' kHuub dekhā tū ne haq murshid kī sūrat meñ
KHuda ko main ne dekha hai mere murshid ki surat mein
hadis-e-man raani hai nabi-allah ki surat mein
KHuda ne KHud hai farmaya nabi ki shan mein yaro
mohammad ki jo surat hai nabi wo meri surat mein
main dekha shan ahmad ki bila-shak mere murshid mein
mera iman-e-kaamil ban gaya murshid ki surat mein
main dekha din se iman ko mere murshid hain
ki 'naib' kHub dekha tu ne haq murshid ki surat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.