kya se kya do din mein haalat ho gai
kyā se kyā do din meñ hālat ho ga.ī
dil na aayā ik qayāmat ho ga.ī
ab jo chāheñ vo kareñ muḳhtār haiñ
ho ga.ī ab to mohabbat ho ga.ī
chhāntā huuñ rāt-din ab ḳhaak maiñ
terī furqat meñ ye hālat ho ga.ī
aañkh se aañsū nikal saktā nahīñ
nā-tavānī se ye sūrat ho ga.ī
baa'd marne ke huī miTTī 'azīm
tere kūche meñ jo turbat ho ga.ī
kyā kahūñ nāseh mohabbat kyuuñ huī
ho ga.ī bas un se ulfat ho ga.ī
aap to 'mushtāq' kā chhoḌeñ na saath
ho ga.ī duniyā ko nafrat ho ga.ī
kya se kya do din mein haalat ho gai
dil na aaya ek qayamat ho gai
ab jo chahen wo karen muKHtar hain
ho gai ab to mohabbat ho gai
chhanta hun raat-din ab KHak main
teri furqat mein ye haalat ho gai
aankh se aansu nikal sakta nahin
na-tawani se ye surat ho gai
ba'd marne ke hui miTTi 'azim
tere kuche mein jo turbat ho gai
kya kahun naseh mohabbat kyun hui
ho gai bas un se ulfat ho gai
aap to 'mushtaq' ka chhoDen na sath
ho gai duniya ko nafrat ho gai
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.