Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ajab dilkash hai shakl uski ajab hai chaal mastana

Haji Abdullah Akbari

ajab dilkash hai shakl uski ajab hai chaal mastana

Haji Abdullah Akbari

MORE BYHaji Abdullah Akbari

    'ajab dilkash hai shakl us 'ajab hai chaal mastāna

    dikhā kar ik jhalak mujh ko banāyā apnā dīvāna

    hamāre dam se hai saaqī mirā ābād mai-ḳhāna

    hamārī vaj.h se din-rāt hai gardish meñ paimāna

    pilā chullū se mujh ko ik muddat se pyāsā huuñ

    kahāñ jaam saaqī kis sāġhar kaisā paimāna

    ḳhushī hai kis aamad jo sargarm hai aisā

    sajā hai kis ḳhātir mere saaqī aaj mai-ḳhāna

    butoñ ne ghar banāyā ho gayā ābād dil merā

    nahīñ to ek muddat se paḌā thā yuuñ vīrāna

    guzar nām-e-ḳhudā ab to hai is meñ ḳhūb-rūoñ

    banāyā hai butoñ ne dil ko mere apnā but-ḳhāna

    du'ā dete haiñ tujh ko sab ye rindān-e-ḳharābātī

    ḳhabar le un ai saaqī rahe ābād mai-ḳhāna

    ḳhabar le apne ahqar zarā ai ġhairat-e-lailā

    gadā ban kar hai baiThā tere dar par terā dīvāna

    'ajab dilkash hai shakl us ki 'ajab hai chaal mastana

    dikha kar ek jhalak mujh ko banaya apna diwana

    hamare dam se hai saqi mera aabaad mai-KHana

    hamari wajh se din-raat hai gardish mein paimana

    pila chullu hi se mujh ko ek muddat se pyasa hun

    kahan ka jam saqi kis ka saghar kaisa paimana

    KHushi hai kis ki aamad ka jo tu sargarm hai aisa

    saja hai kis ki KHatir mere saqi aaj mai-KHana

    buton ne ghar banaya ho gaya aabaad dil mera

    nahin to ek muddat se paDa tha yun hi virana

    guzar nam-e-KHuda ab to hai is mein KHub-ruon ka

    banaya hai buton ne dil ko mere apna but-KHana

    du'a dete hain tujh ko sab ye rindan-e-KHarabaati

    KHabar le un ki ai saqi rahe aabaad mai-KHana

    KHabar le apne ahqar ki zara ai ghairat-e-laila

    gada ban kar hai baiTha tere dar par tera diwana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now