KHabar kya thi aankhon ko de kar wo aansu mere dil ki har ek KHushi chhin lenge
KHabar kya thi aankhon ko de kar wo aansu mere dil ki har ek KHushi chhin lenge
Hunar Sillodi
MORE BYHunar Sillodi
Interesting Fact
موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلم طوائف بطرز ’’بڑی دیر۔۔۔‘‘ لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔
ḳhabar kyā thī āñkhoñ ko de kar vo aañsū mire dil kī har ik ḳhushī chhīn leñge
mohabbat jatā kar judā hoñge aise ki mujh se mirī maut bhī chhīn leñge
likhā maiñ ne ḳhat aaj bilā-‘uzr aanā to qāsid se farmā.e jākar ye kah de
judā ho ke chhīnī hai maut ham ne lekin vahāñ aa.e to zindagī chhīn leñge
lagā kar vo maḳhmūr āñkhoñ meñ kājal ye farmā.e rindoñ ko dikhlā ke chhāgal
tumheñ ham pilā.eñge par shart hai ye ki tum se tumhārī ḳhudī chhīn leñge
jalā kar patañgoñ ko itrā na itnā ai maġhrūr sham.a zarā hosh meñ aa
ki bād-e-muḳhālif ke āzād jhoñke tirī chulbulī raushnī chhīn leñge
'hunar' un ko laḌne ko aane to diije yahī soch kar aaj baiThe haiñ ham bhī
kareñge vo kyā vaar hāthoñ se un ke jo ham baḌh ke shamshīr hī chhīn leñge
KHabar kya thi aankhon ko de kar wo aansu mere dil ki har ek KHushi chhin lenge
mohabbat jata kar juda honge aise ki mujh se meri maut bhi chhin lenge
likha main ne KHat aaj bila-‘uzr aana to qasid se farmae jakar ye kah de
juda ho ke chhini hai maut hum ne lekin wahan aae to zindagi chhin lenge
laga kar wo maKHmur aankhon mein kajal ye farmae rindon ko dikhla ke chhagal
tumhein hum pilaenge par shart hai ye ki tum se tumhaari KHudi chhin lenge
jala kar patangon ko itra na itna ai maghrur shama zara hosh mein aa
ki baad-e-muKHalif ke aazad jhonke teri chulbuli raushni chhin lenge
'hunar' un ko laDne ko aane to dije yahi soch kar aaj baiThe hain hum bhi
karenge wo kya war hathon se un ke jo hum baDh ke shamshir hi chhin lenge
- Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 7)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.