phir bahaar aai chaman mein zaKHm-e-dil aae hue

phir bahaar aai chaman mein zaKHm-e-dil aae hue
Imam Bakhsh Nasikh
MORE BYImam Bakhsh Nasikh
phir bahār aa.ī chaman meñ zaḳhm-e-dil aa.e hue
phir mirī dāġh-e-junūñ ātish kī par kaale hue
is tarah chhoḌūñ yakā-yak terī zulfoñ kā ḳhayāl
ek muddat se ye kaale naag haiñ paale hue
kyā tāsīr hai rukHsār-e-ātish-nāk kī
sho'la-e-javāla tere ye kaan ke baale hue
jab shab-e-tārīk meñ ham kū-e-jānāñ ko chale
āge-āge jā.iye mash’al-e-ātishīñ naale hue
vo parī-paikar kahā karatā thā aksar faḳhr se
ab to 'nāsiḳh' bhī hamāre chāhne vaale hue
phir bahaar aai chaman mein zaKHm-e-dil aae hue
phir meri dagh-e-junun aatish ki par kale hue
is tarah chhoDun yaka-yak teri zulfon ka KHayal
ek muddat se ye kale nag hain pale hue
kya tasir hai rukHsar-e-atish-nak ki
sho'la-e-jawala tere ye kan ke baale hue
jab shab-e-tarik mein hum ku-e-jaanan ko chale
aage-age jaiye mash’al-e-atishin nale hue
wo pari-paikar kaha karata tha aksar faKHr se
ab to 'nasiKH' bhi hamare chahne wale hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.