is taraf bhi karam ai rashk-e-masiha karna
is taraf bhī karam ai rashk-e-masīhā karnā
ki tumheñ aatā hai bīmār kā achchhā karnā
be-ḳhud jalva se kahtā hai ye jalva un kā
lutf-e-nazāra uThā hosh sambhālā karnā
ai junūñ kyuuñ liye jaatā hai bayābāñ meñ mujhe
jab tujhe aatā hai ghar ko mire sahrā karnā
jab ba-juz tere koī dūsrā nahīñ maujūd
phir samajh meñ nahīñ aatā terā parda karnā
yahī vo kaam haiñ nākām mohabbat ke liye
kabhī un kā kabhī taqdīr kā shikva karnā
ham bhī dekheñ tire ā.īna-e-ruḳh ko lekin
shaaq hai gard-e-nazar se use dhuñdlā karnā
koī jā ho dair-o-haram ho ke sanam-ḳhāna ho
ham ko naqsh-e-qadam yaar pe sajda karnā
dekh le jā ke vo dariyā pe tamāshā-e-habāb
jis ko manzūr ho nazāra-e-duniyā karnā
parda-e-hastī-e-mauhūm haTā lo pahle
phir jahāñ chāho vahāñ yaar ko dekhā karnā
shikva aur shikva-e-mahbūb ilāhī tauba
kufr hai maz.hab-e-ushshāq meñ shikva karnā
ek tum ho ki tumheñ baat kā kuchh paas nahīñ
aur ik ham ki hameñ muñh se jo kahnā karnā
vo mere ashk ko dāman pe jagah dete haiñ
ya.anī manzūr hai us qatre ko dariyā karnā
aisī āñkhoñ ke tasadduq mirī āñkheñ 'bedam'
ki jinheñ aatā hai aġhyār ko apnā karnā
is taraf bhi karam ai rashk-e-masiha karna
ki tumhein aata hai bimar ka achchha karna
be-KHud jalwa se kahta hai ye jalwa un ka
lutf-e-nazara uTha hosh sambhaala karna
ai junun kyun liye jata hai bayaban mein mujhe
jab tujhe aata hai ghar ko mere sahra karna
jab ba-juz tere koi dusra nahin maujud
phir samajh mein nahin aata tera parda karna
yahi wo kaam hain nakaam mohabbat ke liye
kabhi un ka kabhi taqdir ka shikwa karna
hum bhi dekhen tere aaina-e-ruKH ko lekin
shaq hai gard-e-nazar se use dhundla karna
koi ja ho dair-o-haram ho ke sanam-KHana ho
hum ko naqsh-e-qadam yar pe sajda karna
dekh le ja ke wo dariya pe tamasha-e-habab
jis ko manzur ho nazara-e-duniya karna
parda-e-hasti-e-mauhum haTa lo pahle
phir jahan chaho wahan yar ko dekha karna
shikwa aur shikwa-e-mahbub ilahi tauba
kufr hai mazhab-e-ushshaq mein shikwa karna
ek tum ho ki tumhein baat ka kuchh pas nahin
aur ek hum ki hamein munh se jo kahna karna
wo mere ashk ko daman pe jagah dete hain
yani manzur hai us qatre ko dariya karna
aisi aankhon ke tasadduq meri aankhen 'bedam'
ki jinhen aata hai aghyar ko apna karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.