istada hai azal se qadir nishan tera
Interesting Fact
یہ غزل خانقاہ امجدیہ، سیوان اور دیگر ذیلی خانقاہوں میں رسمِ نشاں کے وقت قوالوں کے ذریعہ پڑھا جاتا ہے۔
istāda hai azal se qādir nishān terā
aur tā-abad rahegā zāhir nishān terā
jo bā nishāñ bane the un ke nishāñ haiñ pīchhe
aage khaḌā hai sab se baḌh kar nishān terā
jūyāñ haiñ jo nishāñ ke un ko nishāñ batā de
rakhtā hai un ko har dam muztar nishān terā
hai terī ahadiyyat par ham ko yaqīn-e-kāmil
ik din zarūr hogā ghar-ghar nishān terā
hai ahadiyyat numāyāñ us ke alif se be-shak
detā tirī ḳhabar hai muḳhbir nishān terā
phir kyā ġharaz 'asad' ko dair-o-haram se shāhā
jab hai vajūd us kā bartar nishān terā
istada hai azal se qadir nishan tera
aur ta-abad rahega zahir nishan tera
jo ba nishan bane the un ke nishan hain pichhe
aage khaDa hai sab se baDh kar nishan tera
juyan hain jo nishan ke un ko nishan bata de
rakhta hai un ko har dam muztar nishan tera
hai teri ahadiyyat par hum ko yaqin-e-kaamil
ek din zarur hoga ghar-ghar nishan tera
hai ahadiyyat numayan us ke alif se be-shak
deta teri KHabar hai muKHbir nishan tera
phir kya gharaz 'asad' ko dair-o-haram se shaha
jab hai wajud us ka bartar nishan tera
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.