jalā hai hae kis jān-e-chaman kī sham-e-mahfil se
jalā hai haa.e kis jān-e-chaman kī sham-e-mahfil se
mahak phūloñ kī aatī hai sharār-e-ātish-e-dil se
ye dāmān-e-havādis se qayāmat tak na gul hogā
charāġh-e-dil mirā raushan hai un kī sham-e-mahfil se
janāb-e-ḳhizr ham ko ḳhaak raste par lagā.eñge
ki manzil be-ḳhudoñ kī hai muarra qaid-e-manzil se
Thahar bhī ai ḳhayāl-e-hashr aur ik jaam piine de
saraktā hai abhī zulmat kā parda ḳhāna-e-dil se
sahar ne le ke añgḌā.ī tilism-e-nāz-shab toḌā
falak par husn kī sham.eñ uThīñ tāroñ kī mahfil se
baḌhā hai kaun ye girdāb kī ḳhūrāk hone ko
ki uTThā shor-e-mātam yak-ba-yak amboh-e-sāhil se
mirī bālīñ se uTh kar rone vaalo ye bhī sochā hai
chalā huuñ kis kī mahfil meñ uThā huuñ kis kī mahfil se
hai us kambaḳht ko zid soz-e-bātin se pighal jā.ūñ
nigāhoñ ne tumhārī kah diyā hai kyā mire dil se
na dāman-gīr-e-dil ho nā-ḳhudā phir koī nazzāra
ḳhudā ke vāste kashtī baḌhā āġhosh-e-sāhil se
sipurd-e-be-ḳhudī kar de farā.ez aql-e-ḳhud-bīñ ke
haTā de is siyah-bātin kā pahrā ḳhāna-e-dil se
har ik zarra hai dil ai jaane vaale dekh kar chalnā
hazāroñ hastiyāñ lipTī paḌī haiñ ḳhāk-e-manzil se
mirī bebāk nazreñ un kī jānib uTh hī jaatī haiñ
abhī 'ehsān' maiñ vāqif nahīñ ādāb-e-mahfil se
jalā hai hae kis jān-e-chaman kī sham-e-mahfil se
mahak phūloñ kī aatī hai sharār-e-ātish-e-dil se
ye dāmān-e-hawādis se qayāmat tak na gul hogā
charāġh-e-dil mirā raushan hai un kī sham-e-mahfil se
janāb-e-ḳhizr hum ko ḳhak raste par lagāeñge
ki manzil be-ḳhudoñ kī hai muarra qaid-e-manzil se
Thahar bhī ai ḳhayāl-e-hashr aur ek jam pine de
saraktā hai abhī zulmat kā parda ḳhāna-e-dil se
sahar ne le ke añgḌāī tilism-e-nāz-shab toḌā
falak par husn kī shameñ uThīñ tāroñ kī mahfil se
baḌhā hai kaun ye girdāb kī ḳhūrāk hone ko
ki uTThā shor-e-mātam yak-ba-yak amboh-e-sāhil se
mirī bālīñ se uTh kar rone walo ye bhī sochā hai
chalā huñ kis kī mahfil meñ uThā huñ kis kī mahfil se
hai us kambaḳht ko zid soz-e-bātin se pighal jāūñ
nigāhoñ ne tumhārī kah diyā hai kyā mere dil se
na dāman-gīr-e-dil ho nā-ḳhudā phir koī nazzāra
ḳhudā ke wāste kashtī baḌhā āġhosh-e-sāhil se
sipurd-e-be-ḳhudī kar de farāez aql-e-ḳhud-bīñ ke
haTā de is siyah-bātin kā pahrā ḳhāna-e-dil se
har ek zarra hai dil ai jaane wale dekh kar chalnā
hazāroñ hastiyāñ lipTī paḌī haiñ ḳhāk-e-manzil se
mirī bebāk nazreñ un kī jānib uTh hī jatī haiñ
abhī 'ehsān' maiñ wāqif nahīñ ādāb-e-mahfil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.