jamal-e-insan ki aaD mein KHud wo apni jaanib bula rahe hain
jamal-e-insan ki aaD mein KHud wo apni jaanib bula rahe hain
Tasadduq Ali Asad
MORE BYTasadduq Ali Asad
jamāl-e-insāñ kī aaḌ meñ ḳhud vo apnī jānib bulā rahe haiñ
dikhā dikhā ke vo apnī chhalbal diloñ ko sab ke lubhā rahe haiñ
namāz kaise paḌhūñ maiñ zāhid yahāñ to fursat nahīñ hai dam kī
sabaq mohabbat kā apnī har dam vo baiThe dil meñ paḌhā rahe haiñ
mahal-e-fanā meñ jo jā ke dekhā nazar ye aayā hameñ tamāshā
hazāroñ mardoñ ko vo uThā kar baqā kā jaama pahnā rahe haiñ
bane vo baiThe haiñ aaj saaqī liye haiñ hāthoñ meñ shīsha-e-mai
agar hai ḳhvāhish to jald dauḌo fanā kā sāġhar pilā rahe haiñ
hue haiñ ham se vo aise be-ruḳh nahīñ lagāte haiñ kaan us par
ham apnā qissa-e-ġham-o-alam kā hamesha un ko sunā rahe haiñ
hazāroñ fitne uThā.eñge vo bapā qiyāmat kareñge be-shak
rasīlī āñkhoñ se chupke-chupke nayā vo jaadū jagā rahe haiñ
yaqīn-e-kāmil hai āḳhirat meñ unhīñ ko qurb-e-visāl hogā
'asad' jo duniyā meñ apnī hastī vujūd-e-haq meñ miTā rahe haiñ
jamal-e-insan ki aaD mein KHud wo apni jaanib bula rahe hain
dikha dikha ke wo apni chhalbal dilon ko sab ke lubha rahe hain
namaz kaise paDhun main zahid yahan to fursat nahin hai dam ki
sabaq mohabbat ka apni har dam wo baiThe dil mein paDha rahe hain
mahal-e-fana mein jo ja ke dekha nazar ye aaya hamein tamasha
hazaron mardon ko wo uTha kar baqa ka jama pahna rahe hain
bane wo baiThe hain aaj saqi liye hain hathon mein shisha-e-mai
agar hai KHwahish to jald dauDo fana ka saghar pila rahe hain
hue hain hum se wo aise be-ruKH nahin lagate hain kan us par
hum apna qissa-e-gham-o-alam ka hamesha un ko suna rahe hain
hazaron fitne uThaenge wo bapa qiyamat karenge be-shak
rasili aankhon se chupke-chupke naya wo jadu jaga rahe hain
yaqin-e-kaamil hai aaKHirat mein unhin ko qurb-e-visal hoga
'asad' jo duniya mein apni hasti wujud-e-haq mein miTa rahe hain
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 238)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.