shahr ke dukandaro karobar ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge

shahr ke dukandaro karobar ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge
Jawed Akhtar
MORE BYJawed Akhtar
shahr ke dukāndāro kārobār ulfat meñ suud kyā ziyāñ kyā hai tum na jaan pāoge
dil ke daam kitne haiñ ḳhvāb kitne mahñge haiñ aur naqd-e-jāñ kyā hai tum na jaan pāoge
koī kaise miltā hai phuul kaise khiltā hai aañkh kaise jhuktī hai saañs kaise ruktī hai
kaise rah nikaltī hai kaise baat chaltī hai shauq kī zabāñ kyā hai tum na jaan pāoge
vasl kā sukūñ kyā hai hijr kā junūñ kyā hai husn kā fusūñ kyā hai 'ishq ke darūñ kyā hai
tum marīz-e-dānā.ī maslahat ke shaidā.ī rāh-e-gum-rahāñ kyā hai tum na jaan pāoge
zaḳhm kaise phalte haiñ daaġh kaise jalte haiñ dard kaise hotā hai koī kaise rotā hai
ashk kyā haiñ naale kyā dasht kyā haiñ chhāle kyā aah kyā fuġhāñ kyā hai tum na jaan pāoge
jāntā huuñ maiñ tum ko zauq-e-shā'irī bhī hai shaḳhsiyat sajāne meñ ik ye māhrī bhī hai
phir bhī harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyāñ kyā hai tum na jaan pāoge
shahr ke dukandaro karobar ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge
dil ke dam kitne hain KHwab kitne mahnge hain aur naqd-e-jaan kya hai tum na jaan paoge
koi kaise milta hai phul kaise khilta hai aankh kaise jhukti hai sans kaise rukti hai
kaise rah nikalti hai kaise baat chalti hai shauq ki zaban kya hai tum na jaan paoge
wasl ka sukun kya hai hijr ka junun kya hai husn ka fusun kya hai 'ishq ke darun kya hai
tum mariz-e-danai maslahat ke shaidai rah-e-gum-rahan kya hai tum na jaan paoge
zaKHm kaise phalte hain dagh kaise jalte hain dard kaise hota hai koi kaise rota hai
ashk kya hain nale kya dasht kya hain chhaale kya aah kya fughan kya hai tum na jaan paoge
jaanta hun main tum ko zauq-e-sha'iri bhi hai shaKHsiyat sajaane mein ek ye mahri bhi hai
phir bhi harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyan kya hai tum na jaan paoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.