agar jamal-e-haqiqat se rabt mohkam hai
agar jamāl-e-haqīqat se rabt mohkam hai
nafas nafas meñ na.ī zindagī kā 'ālam hai
na koī ḳhaar na zāhid koī jahannam hai
ḳhud apnī-apnī nazar apnā-apnā 'ālam hai
har ek qatre meñ dariyā-e-ma’arifat hai ravāñ
magar nasīb ho kyuuñ kar pyaas hī kam hai
abhī kamāl ko pahuñchī nahīñ hai fitrat-e-'ishq
ki aadmī ko hanūz intizār-e-ādam hai
junūñ bhī saath na de ab to kuchh nahīñ parvā
ḳhushā ki terī nigāhoñ se rabt mohkam hai
jo gosh-e-dil-shinau ho to bazm-e-hastī meñ
sukūt-e-sāz bhī ik naġhma-e-mujassam hai
ḳhushī meñ bhuul na jaanā jigar ye rāz-e-hayāt
ki jo ḳhushī hai yahāñ ik amānat-e-ġham hai
agar jamal-e-haqiqat se rabt mohkam hai
nafas nafas mein nai zindagi ka 'alam hai
na koi KHar na zahid koi jahannam hai
KHud apni-apni nazar apna-apna 'alam hai
har ek qatre mein dariya-e-ma’arifat hai rawan
magar nasib ho kyun kar pyas hi kam hai
abhi kamal ko pahunchi nahin hai fitrat-e-'ishq
ki aadmi ko hanuz intizar-e-adam hai
junun bhi sath na de ab to kuchh nahin parwa
KHusha ki teri nigahon se rabt mohkam hai
jo gosh-e-dil-shinau ho to bazm-e-hasti mein
sukut-e-saz bhi ek naghma-e-mujassam hai
KHushi mein bhul na jaana jigar ye raaz-e-hayat
ki jo KHushi hai yahan ek amanat-e-gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.