kabhi mujhko sath le kar kabhi mere sath chal ke
kabhī mujh ko saath le kar kabhī mere saath chal ke
vo badal gayā achānak merī zindagī badal ke
hue jis pe mehrbāñ tum koī ḳhush-nasīb hogā
merī hasrateñ to nikleñ mere āñsuoñ meñ Dhal ke
terī zulf-o-ruḳh ke qurbāñ dil-e-zār DhūñDhtā hai
vahī champa.ī ujāle vahī surma.ī dhundalke
koī phuul ban gayā hai koī chāñd koī taarā
jo charāġh bujh gayā hai tirī anjuman meñ jal ke
mere dosto ḳhudā-rā mere saath tum bhī DhūñDho
vo yahīñ kahīñ chhupā hai mere ġham kā ruḳh badal ke
terī be-jhijhak hañsī se na kisī kā dil ho mailā
ye nagar hai ā.īnoñ kā yahāñ saañs le sambhal ke
kabhi mujh ko sath le kar kabhi mere sath chal ke
wo badal gaya achanak meri zindagi badal ke
hue jis pe mehrban tum koi KHush-nasib hoga
meri hasraten to niklen mere aansuon mein Dhal ke
teri zulf-o-ruKH ke qurban dil-e-zar DhunDhta hai
wahi champai ujale wahi surmai dhundalke
koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo charagh bujh gaya hai teri anjuman mein jal ke
mere dosto KHuda-ra mere sath tum bhi DhunDho
wo yahin kahin chhupa hai mere gham ka ruKH badal ke
teri be-jhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai aainon ka yahan sans le sambhal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.