tum sa koi hamdam koi dam-saz nahin hai
tum sa koi hamdam koi dam-saz nahin hai
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
tum sā koī hamdam koī dam-sāz nahīñ hai
har vaqt haiñ bāteñ magar āvāz nahīñ hai
ye naġhma-e-dil-kash mirā be-sāz nahīñ hai
vo bol rahe haiñ mirī āvāz nahīñ hai
jāñ-bāz hai 'majzūb' suḳhan-sāz nahīñ hai
vo bol rahe haiñ mirī āvāz nahīñ hai
ham ḳhāk-nashīnoñ ko na masnad pe biThāo
ye 'ishq kī tauhīn hai e'azāz nahīñ hai
ham tum hī bas āgāh haiñ is rabt-e-ḳhafī se
ma'alūm kisī aur ko ye raaz nahīñ hai
'majzūb' huuñ piitā hī chalā jaatā huuñ paiham
parvāna hai bulbul kā sā andāz nahīñ hai
tum sa koi hamdam koi dam-saz nahin hai
har waqt hain baaten magar aawaz nahin hai
ye naghma-e-dil-kash mera be-saz nahin hai
wo bol rahe hain meri aawaz nahin hai
jaan-baz hai 'majzub' suKHan-saz nahin hai
wo bol rahe hain meri aawaz nahin hai
hum KHak-nashinon ko na masnad pe biThao
ye 'ishq ki tauhin hai e'azaz nahin hai
hum tum hi bas aagah hain is rabt-e-KHafi se
ma'alum kisi aur ko ye raaz nahin hai
'majzub' hun pita hi chala jata hun paiham
parwana hai bulbul ka sa andaz nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.