is qadar aankhen meri mahw-e-tamasha ho gain
is qadar aankhen meri mahw-e-tamasha ho gain
Khwaja Haidar Ali Aatish
MORE BYKhwaja Haidar Ali Aatish
Interesting Fact
مرادآباد کی مشہور گائیکہ چھمنی جان نے اس غزل پر اپنی آواز دی ہے جس کی خبر ’’ارمانِ وصل‘‘ نامی گلدستہ سے ملتی ہے۔
is qadar āñkheñ mirī mahv-e-tamāshā ho ga.iiñ
putliyāñ pathrā ke āḳhir sañg-e-mūsā ho ga.iiñ
rū-e-rañgīñ se bhī vo gesū-e-ḳhat hai dil-fareb
būiyāñ bhī is gulistāñ kī tamāshā ho ga.iiñ
baaġh ko sarsabz bārān-e-bahārī ne kiyā
shā.iqoñ ke vāste tasbīh ye paidā ho ga.iiñ
sūrat-e-kāfūr boveñ us kī ab uḌtī to haiñ
chashma-e-ḳhurshīd tak pahuñchīñ to dariyā ho ga.iiñ
jis taraf saude meñ un zulfoñ ke maiñ vahshī huā
us taraf se do balā.eñ mere paidā ho ga.iiñ
qaaf meñ bhī sikka baiThā husn-e-’ālamgīr kā
'ātish' apne yaar kī pariyāñ bhī shaidā ho ga.iiñ
is qadar aankhen meri mahw-e-tamasha ho gain
putliyan pathra ke aaKHir sang-e-musa ho gain
ru-e-rangin se bhi wo gesu-e-KHat hai dil-fareb
buiyan bhi is gulistan ki tamasha ho gain
bagh ko sarsabz baran-e-bahaari ne kiya
shaiqon ke waste tasbih ye paida ho gain
surat-e-kafur bowen us ki ab uDti to hain
chashma-e-KHurshid tak pahunchin to dariya ho gain
jis taraf saude mein un zulfon ke main wahshi hua
us taraf se do balaen mere paida ho gain
qaf mein bhi sikka baiTha husn-e-’alamgir ka
'atish' apne yar ki pariyan bhi shaida ho gain
- Book : Arman-e-Wasl (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.