koi maza maza nahin koi KHushi KHushi nahin
koi maza maza nahin koi KHushi KHushi nahin
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
koī maza maza nahīñ koī ḳhushī ḳhushī nahīñ
tere baġhair zindagī maut hai zindagī nahīñ
haal meñ apne mast huuñ ġhair kā hosh hī nahīñ
rahtā huuñ maiñ jahāñ meñ yuuñ jaise yahāñ koī nahīñ
mujh meñ sabhī hunar sahī taab to zabt kī nahīñ
shart-e-vafā vahāñ yahī aur yahāñ yahī nahīñ
dil kī lagī hai 'āshiqo ye koī dil-lagī nahīñ
hañs na sakoge go hañso 'ishq hai ye hañsī nahīñ
baiThā huuñ maiñ jhukā.e sar nīchī kiye hue nazar
bazm meñ sab sahī magar vo jo nahīñ koī nahīñ
hosh na jaane thā kidhar sochā to ab huī ḳhabar
bāteñ hazār kiiñ magar dil meñ thī kahī nahīñ
rahtā huuñ be-lab-o-dahan roz-o-shab un se ham-suḳhan
jān-e-suḳhan hai ai 'hasan' ye mirī ḳhāmushī nahīñ
koi maza maza nahin koi KHushi KHushi nahin
tere baghair zindagi maut hai zindagi nahin
haal mein apne mast hun ghair ka hosh hi nahin
rahta hun main jahan mein yun jaise yahan koi nahin
mujh mein sabhi hunar sahi tab to zabt ki nahin
shart-e-wafa wahan yahi aur yahan yahi nahin
dil ki lagi hai 'ashiqo ye koi dil-lagi nahin
hans na sakoge go hanso 'ishq hai ye hansi nahin
baiTha hun main jhukae sar nichi kiye hue nazar
bazm mein sab sahi magar wo jo nahin koi nahin
hosh na jaane tha kidhar socha to ab hui KHabar
baaten hazar kin magar dil mein thi kahi nahin
rahta hun be-lab-o-dahan roz-o-shab un se ham-suKHan
jaan-e-suKHan hai ai 'hasan' ye meri KHamushi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.