maddah hun janab-e-risalat panah ka
maddāh huuñ janāb-e-risālat panāh kā
'arsh-e-barīñ pe gosha hai merī kulāh kā
mahfil meñ merī naġhma-sarā.ī se shor hai
har samt aah aah kā aur vaah vaah kā
zebā hai fakHr-o-nāz mujhe jis qadar karūñ
dekhūñ to mad.h-ḳhvāñ huuñ maiñ kis bādshāh kā
dariyā-e-faiz-o-jūd hai vo jiske sāmne
tinke se kam hai koh bhī gar ho gunāh kā
us jaayā 'uzr-ḳhvāhī hamārī karegā vo
jis jā pe zahrā-āb ho har 'uzr-ḳhvāh kā
paiġhambaroñ ko fakHr huā us kī zaat se
sardār hī se baḌhtā hai rutba sipāh kā
sarsabz kyā hoñ us ruḳh-e-zebā ke rū-ba-rū
muñh kyā hai sham'-e-bazm kā yā mehr-o-māh kā
shabnam kī kyā majāl jo gul-gasht kar sake
jis gulistāñ meñ paañv na Thahre nigāh kā
āshiq ke dil se aah nikaltī hai isliye
us ke sivā maqām nahīñ dil meñ aah kā
kālak to mere muñh kī chhaTe ab kisī tarah
hove guzar madīne meñ mujh rū-siyāh kā
dar-pesh hai 'adam kā safar sab ko dosto
jo naa't kā kalām hai tosha hai raah kā
paiġhambaroñ kā shāhid-e-'ādil hai vo 'shahīd'
kyā martaba hai nām-e-ḳhudā us gavāh kā
maddah hun janab-e-risalat panah ka
'arsh-e-barin pe gosha hai meri kulah ka
mahfil mein meri naghma-sarai se shor hai
har samt aah aah ka aur wah wah ka
zeba hai fakHr-o-naz mujhe jis qadar karun
dekhun to madh-KHwan hun main kis baadshah ka
dariya-e-faiz-o-jud hai wo jiske samne
tinke se kam hai koh bhi gar ho gunah ka
us jaya 'uzr-KHwahi hamari karega wo
jis ja pe zahra-ab ho har 'uzr-KHwah ka
paighambaron ko fakHr hua us ki zat se
sardar hi se baDhta hai rutba sipah ka
sarsabz kya hon us ruKH-e-zeba ke ru-ba-ru
munh kya hai sham'-e-bazm ka ya mehr-o-mah ka
shabnam ki kya majal jo gul-gasht kar sake
jis gulistan mein panw na Thahre nigah ka
aashiq ke dil se aah nikalti hai isliye
us ke siwa maqam nahin dil mein aah ka
kalak to mere munh ki chhaTe ab kisi tarah
howe guzar madine mein mujh ru-siyah ka
dar-pesh hai 'adam ka safar sab ko dosto
jo na't ka kalam hai tosha hai rah ka
paighambaron ka shahid-e-'adil hai wo 'shahid'
kya martaba hai nam-e-KHuda us gawah ka
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.