tasawwur mein jo phulon ka saman hai
tasavvur meñ jo phūloñ kā samāñ hai
qafas kī shaam sub.h gulistāñ hai
jigar kā ḳhuun āñkhoñ se ravāñ hai
mohabbat ek rañgīñ dāstāñ hai
mirī fariyād dil kī dāstāñ hai
mirā naala mohabbat kī zabāñ hai
tasavvur aish kā rāhat-nishāñ hai
magar itnī mujhe fursat kahāñ hai
takallum hai ki maujoñ kī ravānī
tabassum hai ki sub.h-e-gulsitāñ hai
javānī aur phir terī javānī
tire sadqe meñ ik duniyā javāñ hai
jhukī paḌtī haiñ sajde meñ jabīneñ
ḳhudā jaane ye kis kā āstāñ hai
vo shāḳheñ jin pe merā āshiyāñ thā
vahāñ ab bijliyoñ kā āshiyāñ hai
bahut se dahr meñ qātil adā haiñ
tumhīñ se kyuuñ zamāna bad-gumāñ hai
na pūchho shām-e-tanhā.ī kā a.alam
tumhārī yaad bhī dāman-kashāñ hai
tirī bedād kā shikvā nahīñ hai
mirī fitrat hī majbūr-e-fuġhāñ hai
ḳhudā vo din na laa.e jo kahūñ maiñ
gunāhoñ meñ bhī ab lazzat kahāñ hai
are ik sāġhar-e-sahbā kā a.alam
abhī mai-kash kahāñ thā aur kahāñ hai
mirā afsāna-e-pur-dard 'māhir'
ba-unvān-e-hadīs-e-dīgrāñ hai
tasawwur mein jo phulon ka saman hai
qafas ki sham subh gulistan hai
jigar ka KHun aankhon se rawan hai
mohabbat ek rangin dastan hai
meri fariyaad dil ki dastan hai
mera nala mohabbat ki zaban hai
tasawwur aish ka rahat-nishan hai
magar itni mujhe fursat kahan hai
takallum hai ki maujon ki rawani
tabassum hai ki subh-e-gulsitan hai
jawani aur phir teri jawani
tere sadqe mein ek duniya jawan hai
jhuki paDti hain sajde mein jabinen
KHuda jaane ye kis ka aastan hai
wo shaKHen jin pe mera aashiyan tha
wahan ab bijliyon ka aashiyan hai
bahut se dahr mein qatil ada hain
tumhin se kyun zamana bad-guman hai
na puchho sham-e-tanhai ka aalam
tumhaari yaad bhi daman-kashan hai
teri bedad ka shikwa nahin hai
meri fitrat hi majbur-e-fughan hai
KHuda wo din na lae jo kahun main
gunahon mein bhi ab lazzat kahan hai
are ek saghar-e-sahba ka aalam
abhi mai-kash kahan tha aur kahan hai
mera afsana-e-pur-dard 'mahir'
ba-unwan-e-hadis-e-digran hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.