husn ki KHwabida mahfil ko jaga deta hun main
husn kī ḳhvābīda mahfil ko jagā detā huuñ maiñ
kis bulandī se ḳhudā jaane sadā detā huuñ maiñ
dard-e-dil kā naam sun kar muskurā detā huuñ maiñ
apnī barbādī kā afsāna sunā detā huuñ maiñ
mā-sivā ke har tasavvur ko miTā detā huuñ maiñ
aarzū ko ḳhaak meñ ḳhud hī milā detā huuñ maiñ
allāh allāh mere dast-e-shauq kī gustāḳhiyāñ
un kī bazm ke parde uThā detā huuñ maiñ
kyā ḳhabar duzdīda nazroñ se vo kyā farmā ga.e
roz ek ummīd kī mahfil sajā detā huuñ maiñ
mubtalā-e-kashmakash hai kab se qalb-e-nā-tavāñ
ek chiñgārī ko muddat se havā detā huuñ maiñ
rahm khātī haiñ ḳhudā.ī par mirī māyūsiyāñ
valvale uThne nahīñ paate dabā detā huuñ maiñ
aaj bhī qaa.im huuñ apnī vaz.a par tere liye
ab bhī terī raah meñ āñḳheñ bichhā detā huuñ maiñ
is tire raushan tabassum kā fasāna chheḌ kar
mahfiloñ meñ husn kī sham.a jalā detā huuñ maiñ
jab kabhī hotā hai dil āmāda-e-izhār-e-ġham
sunñe vāloñ ke kalejoñ ko hilā detā huuñ maiñ
kyā ġharaz mujh ko kisī se mujh ko to matlūb hai
rāh-e-ulfat se haram ko bhī haTā detā huuñ maiñ
chāhtā huuñ dekhnā jab zohd kī mahfil kā rañg
ḳhud ko isyāñ kī bulandī se girā detā huuñ maiñ
mere zauq-e-sarfaroshī ko ḳhudā puurā kare
naam se kar teġh kā gardan jhukā detā huuñ maiñ
ab maiñ un ke jor kā shikvā bhī kar saktā nahīñ
vo ye kahte haiñ tujhe dād-e-vafā detā huuñ maiñ
aur kuchh masrūf nahīñ 'māhir' mire ash.ār kā
dard se labrez ik naġhma sunā detā huuñ maiñ
husn ki KHwabida mahfil ko jaga deta hun main
kis bulandi se KHuda jaane sada deta hun main
dard-e-dil ka nam sun kar muskura deta hun main
apni barbaadi ka afsana suna deta hun main
ma-siwa ke har tasawwur ko miTa deta hun main
aarzu ko KHak mein KHud hi mila deta hun main
allah allah mere dast-e-shauq ki gustaKHiyan
un ki bazm ke parde uTha deta hun main
kya KHabar duzdida nazron se wo kya farma gae
roz ek ummid ki mahfil saja deta hun main
mubtala-e-kashmakash hai kab se qalb-e-na-tawan
ek chingari ko muddat se hawa deta hun main
rahm khati hain KHudai par meri mayusiyan
walwale uThne nahin pate daba deta hun main
aaj bhi qaim hun apni waza par tere liye
ab bhi teri rah mein aanKHen bichha deta hun main
is tere raushan tabassum ka fasana chheD kar
mahfilon mein husn ki shama jala deta hun main
jab kabhi hota hai dil aamada-e-izhaar-e-gham
sunne walon ke kalejon ko hila deta hun main
kya gharaz mujh ko kisi se mujh ko to matlub hai
rah-e-ulfat se haram ko bhi haTa deta hun main
chahta hun dekhna jab zohd ki mahfil ka rang
KHud ko isyan ki bulandi se gira deta hun main
mere zauq-e-sarfaroshi ko KHuda pura kare
nam se kar tegh ka gardan jhuka deta hun main
ab main un ke jor ka shikwa bhi kar sakta nahin
wo ye kahte hain tujhe dad-e-wafa deta hun main
aur kuchh masruf nahin 'mahir' mere ashaar ka
dard se labrez ek naghma suna deta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.