main dang hun apne mein hairat use kahte hain
maiñ dañg huuñ apne meñ hairat use kahte haiñ
paatā huuñ jahāñ ḳhud meñ vahdat use kahte haiñ
kar jam.a tū tanzīh-o-tashbīh ko ai suufī
batlā.ūñ maiñ phir tujh ko hujjat use kahte haiñ
maiñ donoñ jahāñ meñ huuñ haiñ donoñ jahāñ mujh meñ
vahdat use kahte haiñ kasrat use kahte haiñ
hai ain na ḳhud zāhir hai ġhair na ḳhud qāyam
ham is ko samajhte haiñ hikmat ise kahte haiñ
haiñ jam.a meñ ham aur phir haiñ jam.a se ḳhālī ham
jalvat use kahte haiñ ḳhalvat use kahte haiñ
qatra kahīñ dariyā hai dariyā kahīñ qatra hai
jo raaz samajhte haiñ qudrat use kahte haiñ
mad-hoshī meñ lā kī ham 'ġhausī' bahut achchhe the
kyā banda banāyā hai ulfat use kahte haiñ
main dang hun apne mein hairat use kahte hain
pata hun jahan KHud mein wahdat use kahte hain
kar jama tu tanzih-o-tashbih ko ai sufi
batlaun main phir tujh ko hujjat use kahte hain
main donon jahan mein hun hain donon jahan mujh mein
wahdat use kahte hain kasrat use kahte hain
hai ain na KHud zahir hai ghair na KHud qayam
hum is ko samajhte hain hikmat ise kahte hain
hain jama mein hum aur phir hain jama se KHali hum
jalwat use kahte hain KHalwat use kahte hain
qatra kahin dariya hai dariya kahin qatra hai
jo raaz samajhte hain qudrat use kahte hain
mad-hoshi mein la ki hum 'ghausi' bahut achchhe the
kya banda banaya hai ulfat use kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.