Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

na kisi chiz mein dil un ka laga mere baad

Maulana Abdul Qadeer Hasrat

na kisi chiz mein dil un ka laga mere baad

Maulana Abdul Qadeer Hasrat

MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat

    na kisī chiiz meñ dil un lagā mere baa'd

    yaad aatī rahī merī vafā mere baa'd

    ab to maiñ rāh-rau mulk-e-'adam hotā huuñ

    tirā har haal meñ hāfiz hai ḳhudā mere baa'd

    chhoḌ kar mujh ko agar jaate ho jaao lekin

    na milegā tumheñ pāband-e-vafā mere baa'd

    jaan pyārī hai to tum pyaar kisī se na karo

    koī 'ushshāq meñ kar de ye nidā mere baa'd

    be tire meñ to taḌaptā rahā raat tamām

    sach batā de tirā kyā haal huā mere baa'd

    maiñ jo martā huuñ balā se mujhe mar jaane de

    to burā haal ḳhudārā na banā mere baa'd

    maktab-e-'ishq meñ mā'lūm nahīñ legā kaun

    dars-e-uftādgī-o-dars-e-fanā mere baa'd

    apne marne nahīñ fikr mujhe fikr ye hai

    kaun uThā.egā tire jaur-o-jafā mere baa'd

    zindagī bhar koī 'hasrat' na nikālī dil

    nauha karte hue gar aa.e to kyā mere baa'd

    na kisi chiz mein dil un ka laga mere ba'd

    yaad aati hi rahi meri wafa mere ba'd

    ab to main rah-rau mulk-e-'adam hota hun

    tera har haal mein hafiz hai KHuda mere ba'd

    chhoD kar mujh ko agar jate ho jao lekin

    na milega tumhein paband-e-wafa mere ba'd

    jaan pyari hai to tum pyar kisi se na karo

    koi 'ushshaq mein kar de ye nida mere ba'd

    be tere mein to taDapta hi raha raat tamam

    sach bata de tera kya haal hua mere ba'd

    main jo marta hun bala se mujhe mar jaane de

    to bura haal KHudara na bana mere ba'd

    maktab-e-'ishq mein ma'lum nahin lega kaun

    dars-e-uftadgi-o-dars-e-fana mere ba'd

    apne marne ki nahin fikr mujhe fikr ye hai

    kaun uThaega tere jaur-o-jafa mere ba'd

    zindagi bhar koi 'hasrat' na nikali dil ki

    nauha karte hue gar aae to kya mere ba'd

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 311)
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now