duniya mein kis ko hai baqa aaKHir fana aaKHir fana
duniyā meñ kis ko hai baqā āḳhir fanā āḳhir fanā
sun le zarā mard-e-ḳhudā āḳhir fanā āḳhir fanā fanā
daulat pe mat kar tū gumāñ rah jā.egī saarī yahāñ
qārūn bhī to kahtā gayā āḳhir fanā āḳhir fanā
hūr-o-parī jinn-o-bashar duniyā ke saare jānvar
kahte haiñ sab ye barmalā āḳhir fanā āḳhir fanā
dikhlā ke apnā bāñkpan kammal ko kar ke zeb-tan
sab kah ga.e shāh-o-gadā āḳhir fanā ākHir fanā
is husn par gar gumān do roz kā hai mehmān
yūsuf ne marte dam kahā āḳhir fanā āḳhir fanā
shāh-e-sikandar ne vilā jab maut kā chakkhā mazā
duniyā se ye kahtā gayā āḳhir fanā āḳhir fanā
hai maut terī taak meñ mil jā.egā tū ḳhaak meñ
qur.ān meñ hai ye likhā āḳhir fanā āḳhir fanā
kar le jo karnā hai tujhe āḳhir ko marnā hai tujhe
sach hai buzurgoñ ne kahā āḳhir fanā āḳhir fanā
kahnā 'valī' kā maan le marne kī dil meñ Thaan le
kar le jo karnā hai bhalā āḳhir fanā āḳhir fanā
duniya mein kis ko hai baqa aaKHir fana aaKHir fana
sun le zara mard-e-KHuda aaKHir fana aaKHir fana fana
daulat pe mat kar tu guman rah jaegi sari yahan
qarun bhi to kahta gaya aaKHir fana aaKHir fana
hur-o-pari jinn-o-bashar duniya ke sare jaanwar
kahte hain sab ye barmala aaKHir fana aaKHir fana
dikhla ke apna bankpan kammal ko kar ke zeb-tan
sab kah gae shah-o-gada aaKHir fana aakHir fana
is husn par gar guman do roz ka hai mehman
yusuf ne marte dam kaha aaKHir fana aaKHir fana
shah-e-sikandar ne wila jab maut ka chakkha maza
duniya se ye kahta gaya aaKHir fana aaKHir fana
hai maut teri tak mein mil jaega tu KHak mein
quran mein hai ye likha aaKHir fana aaKHir fana
kar le jo karna hai tujhe aaKHir ko marna hai tujhe
sach hai buzurgon ne kaha aaKHir fana aaKHir fana
kahna 'wali' ka man le marne ki dil mein Than le
kar le jo karna hai bhala aaKHir fana aaKHir fana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.