mujhe hai kaam satguru se jagat ruThe to ruThan de
mujhe hai kaam satguru se jagat rūThe to rūThan de
bandhu jan patnī maatā dhan agar chhūTe to chūTan de
dhyān satguru ke karne meñ sadā sankaT bhī aa.e gar
na chhoḌūñ bhajan satguru kā ye aatmā tan se chūTan de
karūñ kaliyāñ meñ apnā sadā satguru ke sevā se
chaturvedāñ sevā karne meñ mere thargan bhī chūTan de
menu vakyāshadī se maiñ naam luuñ pyāre satguru kā
ye merī narak kī bhītī-o-āshā sovarg chūTan de
kiyā sankaT ko duur veñkaT merī guru chishtī naayb ne
phirūñ maiñ mast ulfat meñ ye duniyā kuchh bhī bolan de
mujhe hai kaam satguru se jagat ruThe to ruThan de
bandhu jan patni mata dhan agar chhuTe to chuTan de
dhyan satguru ke karne mein sada sankaT bhi aae gar
na chhoDun bhajan satguru ka ye aatma tan se chuTan de
karun kaliyan mein apna sada satguru ke sewa se
chaturwedan sewa karne mein mere thargan bhi chuTan de
meinu wakyashadi se main nam lun pyare satguru ka
ye meri narak ki bhiti-o-asha sowarg chuTan de
kiya sankaT ko dur wenkaT meri guru chishti nayb ne
phirun main mast ulfat mein ye duniya kuchh bhi bolan de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.