nahin hun kuchh bhi magar kya kahun ki kya hun main
nahin hun kuchh bhi magar kya kahun ki kya hun main
Mukhtar Badayuni
MORE BYMukhtar Badayuni
nahīñ huuñ kuchh bhī magar kyā kahūñ ki kyā huuñ maiñ
fazā-e-quds kī gūñjī huī sadā huuñ maiñ
jo aa ke dil se na nikle vo mudda'ā huuñ maiñ
Tapaktī yaas ho jis se vo iltijā huuñ maiñ
har ek rañg meñ paatā huuñ kuchh jhalak terī
zarā jo ġhaur kī nazroñ se dekhtā huuñ maiñ
tajalliyoñ se tirī jagmagā uThe zarre
tujhe ḳhabar hai ki kab se taḌap rahā huuñ maiñ
junūn-e-shauq meñ kuchh aisī merī hālat hai
ki apnī bātoñ pe ḳhud vajd kar rahā huuñ maiñ
irāda ek bhī puurā na ho sakā afsos
vo dardmañd-e-alam ḳhūgar-e-vafā huuñ maiñ
khulā ye merī haqīqat kā mudda'ā 'muḳhtār'
ajal nasīb hoñ parvarda-e-fanā huuñ maiñ
nahin hun kuchh bhi magar kya kahun ki kya hun main
faza-e-quds ki gunji hui sada hun main
jo aa ke dil se na nikle wo mudda'a hun main
Tapakti yas ho jis se wo iltija hun main
har ek rang mein pata hun kuchh jhalak teri
zara jo ghaur ki nazron se dekhta hun main
tajalliyon se teri jagmaga uThe zarre
tujhe KHabar hai ki kab se taDap raha hun main
junun-e-shauq mein kuchh aisi meri haalat hai
ki apni baaton pe KHud wajd kar raha hun main
irada ek bhi pura na ho saka afsos
wo dardmand-e-alam KHugar-e-wafa hun main
khula ye meri haqiqat ka mudda'a 'muKHtar'
ajal nasib hon parwarda-e-fana hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.