nigah-e-lutf ke umid-war hum bhi hain
nigāh-e-lutf ke umīd-vār ham bhī haiñ
liye hue ye dil-e-be-qarār ham bhī haiñ
hamāre dast-e-tamannā kī laaj bhī rakhnā
tire faqīroñ meñ ai shahr-e-yār ham bhī haiñ
idhar kabhī to sun aqdas ke do qadam jalve
tumhārī raah meñ musht-e-ġhubār ham bhī haiñ
jo sar pe rakhne ko mil jaa.e nā'l-e-pāk-e-rasūl
to phir kaheñge ki haañ tājdār ham bhī haiñ
ye kis shahanshah-e-vālā kā sadqa baTtā hai
ke kHusruoñ meñ paḌī hai pukār ham bhī haiñ
tumhārī ek nigāh-e-karam meñ sab kuchh hai
paḌe hue to sar-e-rahguzār ham bhī haiñ
'hasan' hai jinkī saḳhāvat kī dhuum 'ālam meñ
unhīñ ke tum bhī ho ik reza-ḳhār ham bhī haiñ
nigah-e-lutf ke umid-war hum bhi hain
liye hue ye dil-e-be-qarar hum bhi hain
hamare dast-e-tamanna ki laj bhi rakhna
tere faqiron mein ai shahr-e-yar hum bhi hain
idhar kabhi to sun aqdas ke do qadam jalwe
tumhaari rah mein musht-e-ghubar hum bhi hain
jo sar pe rakhne ko mil jae na'l-e-pak-e-rasul
to phir kahenge ki han tajdar hum bhi hain
ye kis shahanshah-e-wala ka sadqa baTta hai
ke kHusruon mein paDi hai pukar hum bhi hain
tumhaari ek nigah-e-karam mein sab kuchh hai
paDe hue to sar-e-rahguzar hum bhi hain
'hasan' hai jinki saKHawat ki dhum 'alam mein
unhin ke tum bhi ho ek reza-KHar hum bhi hain
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.