baKHt-e-KHufta ko jaga lun to chale jaiyega
baḳht-e-ḳhufta ko jagā luuñ to chale jā.iyegā
apnī bigḌī ko banā luuñ to chale jā.iyegā
ek nazar dekhne kī aur bhī ik hasrat hai
maiñ zarā hosh meñ aa luuñ to chale jā.iyegā
aap ke baa'd ye dil-e-zindagī kar degā harām
pahle maiñ jaan se jā luuñ to chale jā.iyegā
dil meñ ab rahne kī haamī nahīñ bhartā koī
nā-murādī ko bulā luuñ to chale jā.iyegā
kHvāhish-o-ārzū hasrat-o-armān-o-ummīd
ḳhaak meñ sab ko milā luuñ to chale jā.iyegā
tifl-e-dil nāzoñ kā paalā hai machal jā.egā
is se kuchh baat banā luuñ to chale jā.iyegā
kaun aisā hai milegā jo dil-e-vīrāñ meñ
aag us ghar ko lagā luuñ to chale jā.iyegā
aap ke sharbat-e-dīdār kā pyāsā hai ye dil
tishnagī us kī bujhā luuñ to chale jā.iyegā
sūrat-e-hastī-e-mauhūm ‘nisār’-e-ḳhasta
aap ke aage miTā luuñ to chale jā.egā
baKHt-e-KHufta ko jaga lun to chale jaiyega
apni bigDi ko bana lun to chale jaiyega
ek nazar dekhne ki aur bhi ek hasrat hai
main zara hosh mein aa lun to chale jaiyega
aap ke ba'd ye dil-e-zindagi kar dega haram
pahle main jaan se ja lun to chale jaiyega
dil mein ab rahne ki hami nahin bharta koi
na-muradi ko bula lun to chale jaiyega
kHwahish-o-arzu hasrat-o-arman-o-ummid
KHak mein sab ko mila lun to chale jaiyega
tifl-e-dil nazon ka pala hai machal jaega
is se kuchh baat bana lun to chale jaiyega
kaun aisa hai milega jo dil-e-viran mein
aag us ghar ko laga lun to chale jaiyega
aap ke sharbat-e-didar ka pyasa hai ye dil
tishnagi us ki bujha lun to chale jaiyega
surat-e-hasti-e-mauhum ‘nisar’-e-KHasta
aap ke aage miTa lun to chale jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.