baDe bol baDe niwale
Interesting Fact
آواز : زاہد نازاں قوال۔ نصیحت نامہ
ḳhudā gavāh takabbur se jis ko pyaar huā
samajh lo bas vahī insāñ zalīl-o-ḳhvār huā
baḌe bol baḌe nivāle
halaq meñ ik din phañsne vaale
kaisī kaisī hastiyoñ ne is jahāñ meñ aan ke
kHuub naqqāre bajā.e apnī apnī shaan ke
koī itrātā thā apnī shohrat-o-jāgīr par
thā kisī ko faḳhr apnī daulat-o-tauqīr par
zulm Dhāne meñ koi be-intihā maqbūl thā
koī shuġhl-e-mai-kashī meñ rāt-din mashġhūl thā
kar rahā thā koī apnī quvvat-e-bāzū pe naaz
chand roza zindagī se thā koī be-niyāz
maut lagā ga.ī muñh par taale
baḌe bol aur baḌe nivāle
baat az rāh-e-karam parvāz kī sun lījiye
zindagī meñ kaam aa.egī use chun lījiye
chhoTā muñh bāteñ baḌī hargiz na karnā chāhiye
lāzim hai har baat kī tah meñ utarnā chāhiye
zehn se insān ke jab bāhar nikal jaatī hai baat
dar-haqīqat ziist kā naqsha badal jaatī hai baat
aadmī ko chāhiye ki bolne se peshtar
ġhaur se jumloñ ko taule taulne se peshtar
soche samjhe dekhe bhāle
baḌe bol aur baḌe nivāle
KHuda gawah takabbur se jis ko pyar hua
samajh lo bas wahi insan zalil-o-KHwar hua
baDe bol baDe niwale
halaq mein ek din phansne wale
kaisi kaisi hastiyon ne is jahan mein aan ke
kHub naqqare bajae apni apni shan ke
koi itraata tha apni shohrat-o-jagir par
tha kisi ko faKHr apni daulat-o-tauqir par
zulm Dhane mein koi be-intiha maqbul tha
koi shughl-e-mai-kashi mein raat-din mashghul tha
kar raha tha koi apni quwwat-e-bazu pe naz
chand roza zindagi se tha koi be-niyaz
maut laga gai munh par tale
baDe bol aur baDe niwale
baat az rah-e-karam parwaz ki sun lijiye
zindagi mein kaam aaegi use chun lijiye
chhoTa munh baaten baDi hargiz na karna chahiye
lazim hai har baat ki tah mein utarna chahiye
zehn se insan ke jab bahar nikal jati hai baat
dar-haqiqat zist ka naqsha badal jati hai baat
aadmi ko chahiye ki bolne se peshtar
ghaur se jumlon ko taule taulne se peshtar
soche samjhe dekhe bhaale
baDe bol aur baDe niwale
- Book : Zahid Nazan Qawwal, Part 1 (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.