laila ki taraf tak na mahmil ki taraf dekh
lailā kī taraf taak na mahmil kī taraf dekh
ai 'qais' jo hai zauq-e-nazar dil kī taraf dekh
dariyā pe nazar Daal na sāhil kī taraf dekh
dil meñ hai kamī kaun sī tū dil kī taraf dekh
maujoñ kī na tūfān kī na sāhil kī taraf dekh
sab kuchh hai isī bahr meñ tū dil kī taraf dekh
duniyā ke manāzir to haiñ duniyā ke manāzir
tū dil kī taraf dil kī taraf dil kī taraf dekh
kab tak ye nazar sū-e-haram nāseh-e-nādāñ
ai 'aql ke andhe haram-e-dil kī taraf dekh
mehr-o-mah-o-anjum bhī gul-o-sar-o-saman bhī
sab kuchh isī dil meñ hai isī dil kī taraf dekh
ai gulshan-e-'ālam kī taraf dekhne vaale
dil ġhairat-e-firdaus hai tū dil kī taraf dekh
kyā tuur ke jalvoñ kī taraf dekh rahā hai
dil meñ tire kyā kuchh nahīñ tū dil kī taraf dekh
phir dekh ye zarra hai ki ḳhurshīd hai koī
uTh aañkh uThā aur zarā dil kī taraf dekh
hairat-zada kyuuñ jānib-e-dar dekh rahā hai
dil-jalva-gah-e-ḳhās hai tū dil kī taraf dekh
ye dāman-e-sad-chāk hai vo sīna-e-sad-chāk
phūloñ kī taraf taak anādil kī taraf dekh
mahmil kī taraf 'qais' abas haiñ tirī nazreñ
lailā kī talab hai to zarā dil kī taraf dekh
laila ki taraf tak na mahmil ki taraf dekh
ai 'qais' jo hai zauq-e-nazar dil ki taraf dekh
dariya pe nazar Dal na sahil ki taraf dekh
dil mein hai kami kaun si tu dil ki taraf dekh
maujon ki na tufan ki na sahil ki taraf dekh
sab kuchh hai isi bahr mein tu dil ki taraf dekh
duniya ke manazir to hain duniya ke manazir
tu dil ki taraf dil ki taraf dil ki taraf dekh
kab tak ye nazar su-e-haram naseh-e-nadan
ai 'aql ke andhe haram-e-dil ki taraf dekh
mehr-o-mah-o-anjum bhi gul-o-sar-o-saman bhi
sab kuchh isi dil mein hai isi dil ki taraf dekh
ai gulshan-e-'alam ki taraf dekhne wale
dil ghairat-e-firdaus hai tu dil ki taraf dekh
kya tur ke jalwon ki taraf dekh raha hai
dil mein tere kya kuchh nahin tu dil ki taraf dekh
phir dekh ye zarra hai ki KHurshid hai koi
uTh aankh uTha aur zara dil ki taraf dekh
hairat-zada kyun jaanib-e-dar dekh raha hai
dil-jalwa-gah-e-KHas hai tu dil ki taraf dekh
ye daman-e-sad-chaak hai wo sina-e-sad-chaak
phulon ki taraf tak anadil ki taraf dekh
mahmil ki taraf 'qais' abas hain teri nazren
laila ki talab hai to zara dil ki taraf dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.