zulfon ko jahan tu lahrae
zulfoñ ko jahāñ tū lahrā.e
mai-ḳhānoñ meñ halchal mach jaa.e
piine pe agar aa jā.ūñ mañ
paimānoñ meñ halchal mach jaa.e
anjām-e-ḳhudā jaane kyā ho
un tīr-e-nazar ke māroñ kā
ulfat kī nazar se dekho to
dīvānoñ meñ halchal mach jaa.e
saaqī ho jaam ho miinā ho
aur us pe ghaTā.eñ chhā.ī hoñ
us mauqa' pe achchhe achchhoñ ke
īmānoñ meñ halchal mach jaa.e
tūfān uThānā mere liye
mushkil hī sahī āsān bhī hai
kashtī ko Dubo duuñ sāhil par
tūfānoñ meñ halchal mach jaa.e
bālīñ pe 'qaisar' kī aakar
parda na uThāo chehre se
mumkin hai nigāheñ milte hī
armānoñ meñ halchal mach jaa.e
zulfon ko jahan tu lahrae
mai-KHanon mein halchal mach jae
pine pe agar aa jaun man
paimanon mein halchal mach jae
anjam-e-KHuda jaane kya ho
un tir-e-nazar ke maron ka
ulfat ki nazar se dekho to
diwanon mein halchal mach jae
saqi ho jam ho mina ho
aur us pe ghaTaen chhai hon
us mauqa' pe achchhe achchhon ke
imanon mein halchal mach jae
tufan uThana mere liye
mushkil hi sahi aasan bhi hai
kashti ko Dubo dun sahil par
tufanon mein halchal mach jae
baalin pe 'qaisar' ki aakar
parda na uThao chehre se
mumkin hai nigahen milte hi
armanon mein halchal mach jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.