khaDa hun kab se main dar par tere mushtaq darshan ka
khaDa hun kab se main dar par tere mushtaq darshan ka
Qazi Umrao Ali Jamali
MORE BYQazi Umrao Ali Jamali
khaḌā huuñ kab se maiñ dar par tire mushtāq darshan kā
idhar bhī ik nigāh-e-lutf sadqa apne joban kā
namūna hai tirā rū-e-dil-ārā saaf gulshan kā
hai nargis-āñkh 'āriz-e-gul dahn-ġhuncha hai sosan kā
ye hai hūroñ kā tālib vo butān-e-sāmrī fan kā
na maiñ ma.aqūl zāhid kā na qaa.il huuñ barahman kā
dikhā kar rū-e-anvar le uḌā vo dil ko pahlū se
samā.at kyuuñ na hogī hai vaqūa roz-e-raushan kā
vo zulfeñ 'āshiq-e-shorīda-sar ko Das ga.iiñ āḳhir
nahīñ āsān hāthoñ par khilānā kaalī nāgin kā
Dareñ kyuuñ ahl-e-’ismat tābish-e-ḳhurshīd-e-mahshar se
ki hogā sar par un ke sā.ebāñ yūsuf ke dāman kā
jo dekhā ġhaur se shirk ḳhafī us meñ bhī maḳhfī hai
ki koī dost kā mamnūñ koī shākī hai dushman kā
jo kuchh miltā hai insāñ ko ba-qadr-e-zarf miltā hai
ki shai rakhne se pahle dekhte haiñ jauf-e-bartan kā
ḳhudā kī hikmatoñ ko kab koī pahchān saktā hai
ki kyuuñ hai ḳhosha-chīñ koī koī mālik hai ḳhirman kā
'jamālī' se to ai jān-e-jahāñ ye ho nahīñ saktā
ki dushman se tirā shikvā kare aur tujh se dushman kā
khaDa hun kab se main dar par tere mushtaq darshan ka
idhar bhi ek nigah-e-lutf sadqa apne joban ka
namuna hai tera ru-e-dil-ara saf gulshan ka
hai nargis-ankh 'ariz-e-gul dahn-ghuncha hai sosan ka
ye hai huron ka talib wo butan-e-samri fan ka
na main maqul zahid ka na qail hun barahman ka
dikha kar ru-e-anwar le uDa wo dil ko pahlu se
samaat kyun na hogi hai waqua roz-e-raushan ka
wo zulfen 'ashiq-e-shorida-sar ko Das gain aaKHir
nahin aasan hathon par khilana kali nagin ka
Daren kyun ahl-e-’ismat tabish-e-KHurshid-e-mahshar se
ki hoga sar par un ke saeban yusuf ke daman ka
jo dekha ghaur se shirk KHafi us mein bhi maKHfi hai
ki koi dost ka mamnun koi shaki hai dushman ka
jo kuchh milta hai insan ko ba-qadr-e-zarf milta hai
ki shai rakhne se pahle dekhte hain jauf-e-bartan ka
KHuda ki hikmaton ko kab koi pahchan sakta hai
ki kyun hai KHosha-chin koi koi malik hai KHirman ka
'jamali' se to ai jaan-e-jahan ye ho nahin sakta
ki dushman se tera shikwa kare aur tujh se dushman ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.