jo is jahan-e-KHarab mein dil buton se apna laga chuke hain
jo is jahan-e-KHarab mein dil buton se apna laga chuke hain
Qazi Umrao Ali Jamali
MORE BYQazi Umrao Ali Jamali
jo is jahān-e-ḳharāb meñ dil butoñ se apnā lagā chuke haiñ
Dareñge nār-e-jahīm se kyā ki jān-o-tan sab jalā chuke haiñ
Dare gunah se balā hamārī azal ke din se janāb-e-bārī
hamāre āqā-e-nām-var ko shafī.a-e-mahshar banā chuke haiñ
tujhī ko hai paas bekasoñ kā tujhī ko hai sharm muflisoñ kī
ki naqd-e-mānūs-o-nañg apnā tirī hī rah meñ luTā chuke haiñ
zamīn-o-koh-o-malak bhī mil kar agar uThā.eñ na uTh sakegā
jo baar ulfat kā us hasīñ kī ham apne sar par uThā chuke haiñ
koī kisī dar pe sar jhukā.e jo chāhe dair-o-haram ko jaa.e
ḳhalīl terī galī ko ham to bas apnā ka.aba banā chuke haiñ
burī balā hai ġham-e-mohabbat ḳhudā rā is aaseb se bachā.e
hazāroñ hushiyār lākhoñ siyāne isī maraz meñ to jā chuke haiñ
ḳhudā ke fazl-o-karam se terā huā na ab tak to bāl-bekā
'jamālī' tere husūd kyā kyā na tujh pe tūfāñ uThā chuke haiñ
jo is jahan-e-KHarab mein dil buton se apna laga chuke hain
Darenge nar-e-jahim se kya ki jaan-o-tan sab jala chuke hain
Dare gunah se bala hamari azal ke din se janab-e-bari
hamare aaqa-e-nam-war ko shafia-e-mahshar bana chuke hain
tujhi ko hai pas bekason ka tujhi ko hai sharm muflison ki
ki naqd-e-manus-o-nang apna teri hi rah mein luTa chuke hain
zamin-o-koh-o-malak bhi mil kar agar uThaen na uTh sakega
jo bar ulfat ka us hasin ki hum apne sar par uTha chuke hain
koi kisi dar pe sar jhukae jo chahe dair-o-haram ko jae
KHalil teri gali ko hum to bas apna kaba bana chuke hain
buri bala hai gham-e-mohabbat KHuda ra is aaseb se bachae
hazaron hushiyar lakhon siyane isi maraz mein to ja chuke hain
KHuda ke fazl-o-karam se tera hua na ab tak to baal-beka
'jamali' tere husud kya kya na tujh pe tufan uTha chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.