kisi se bhi gham-e-dil ka mudawa ho nahin sakta
kisī se bhī ġham-e-dil kā mudāvā ho nahīñ saktā
jo tum chāho to phir ai mehrbāñ kyā ho nahīñ saktā
zamāne bhar kā ho kar tum se ho nisbat ye mumkin hai
tumhārā ho ke phir koī kisī kā ho nahīñ saktā
azal meñ maiñ ne dekhā hai tumhāre husn-e-rañgīñ ko
kisī sūrat mirī āñkhoñ ko dhokā ho nahīñ saktā
haqīqat kyā hai duniyā kī vo chāheñ diin bhī de deñ
saḳhī ke dar se ḳhālī lauT jaanā ho nahīñ saktā
burā huuñ jis qadar ai 'rāz' ye maiñ jāntā ḳhud huuñ
magar un ko mirā miTnā gavārā ho nahīñ saktā
kisi se bhi gham-e-dil ka mudawa ho nahin sakta
jo tum chaho to phir ai mehrban kya ho nahin sakta
zamane bhar ka ho kar tum se ho nisbat ye mumkin hai
tumhaara ho ke phir koi kisi ka ho nahin sakta
azal mein main ne dekha hai tumhaare husn-e-rangin ko
kisi surat meri aankhon ko dhoka ho nahin sakta
haqiqat kya hai duniya ki wo chahen din bhi de den
saKHi ke dar se KHali lauT jaana ho nahin sakta
bura hun jis qadar ai 'raaz' ye main jaanta KHud hun
magar un ko mera miTna gawara ho nahin sakta
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.