aap se peshtar nahin aati
aap se peshtar nahīñ aatī
maut kyā soch kar nahīñ aatī
merī ruḳhsat kā vaqt aa pahuñchā
terī sūrat nazar nahīñ aatī
ye hañsī ġhair kā muqaddar hai
kyā mire haal par nahīñ aatī
terī mahfil ko dauḌtā hai ḳhayāl
be-ḳhudī raah par nahīñ aatī
'umr kaise kaTegī 'saif' yahāñ
raat kaTtī nazar nahīñ aatī
aap se peshtar nahin aati
maut kya soch kar nahin aati
meri ruKHsat ka waqt aa pahuncha
teri surat nazar nahin aati
ye hansi ghair ka muqaddar hai
kya mere haal par nahin aati
teri mahfil ko dauDta hai KHayal
be-KHudi rah par nahin aati
'umr kaise kaTegi 'saif' yahan
raat kaTti nazar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.