parwarda-e-tufan hokar hum tufan se kinara kya karte
parwarda-e-tufan hokar hum tufan se kinara kya karte
Sardar Shah Fakhri
MORE BYSardar Shah Fakhri
parvarda-e-tūfāñ hokar ham tūfān se kinārā kyā karte
sāhil kī tamannā kyuuñ karte kashtī kā sahārā kyā karte
maa.il ba-karam haiñ vo paiham ham us ko gavārā kyā karte
āsūd-e-āfat duniyā meñ ’ishrat kā sahārā kyā karte
chhūTe haiñ qafas se ham us se pardāz kī tāqat hī na rahī
gulshan meñ pahuñchnā mushkil hai gulshan kā nazārā kyā karte
jaltā huā gulshan dekhte hī muñh pher liyā ham ne apnā
phūloñ ko taḌap kar jalne ko batlāo gavārā kyā karte
gulchīñ ke sitam se ai 'faḳhrī' āgāh kareñ kaise gul ko
nazroñ se ishāra mushkil hai hāthoñ se ishārā kyā karte
parwarda-e-tufan hokar hum tufan se kinara kya karte
sahil ki tamanna kyun karte kashti ka sahaara kya karte
mail ba-karam hain wo paiham hum us ko gawara kya karte
aasud-e-afat duniya mein ’ishrat ka sahaara kya karte
chhuTe hain qafas se hum us se pardaz ki taqat hi na rahi
gulshan mein pahunchna mushkil hai gulshan ka nazara kya karte
jalta hua gulshan dekhte hi munh pher liya hum ne apna
phulon ko taDap kar jalne ko batlao gawara kya karte
gulchin ke sitam se ai 'faKHri' aagah karen kaise gul ko
nazron se ishaara mushkil hai hathon se ishaara kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.