aankhon mein aa gaya hai koi KHwab barmala hayya-’alal-falah-o-hayya-alal-falah
aankhon mein aa gaya hai koi KHwab barmala hayya-’alal-falah-o-hayya-alal-falah
Shadab Javed
MORE BYShadab Javed
āñkhoñ meñ aa gayā hai koī ḳhvāb barmalā hayyā-’alal-falāh-o-hayyā-'alal-falāh
dasht-e-takHayyulāt meñ chalne lagī havā hayyā-’alal-falāh-o-hayyā-'alal-falāh
ab ranj-o-ġham kī shāmeñ bhī shab meñ badal ga.iiñ ab āftāb-e-husn kī kirneñ bhī Dhal ga.iiñ
hone ko ’an-qarīb hai vaqt-e-sahar sunā hayyā-’alal-falāh-o-hayyā-'alal-falāh
tum ne vafā ke vā'de vafā kar liye chalo ḳhud ko uThāo siine meñ mahshar liye chalo
tasvīr-e-kā.enāt kā naqsha badal chukā hayyā-’alal-falāh-o-hayyā-'alal-falāh
yaum-e-alast yaad hai aur yaad hai vo baat vo ek baat jis ke sabab hai ye kā.ināt
tum ko javāb mil hī gayā is savāl kā hayyā-’alal-falāh-o-hayyā-'alal-falāh
yuuñ to bahār-e-vaqt muiin kī hai asiir shādābiyat bhī chand zamānoñ kī hai aḳhīr
jāved honā chāhtā hai to qadam baḌhā hayyā-’alal-falāh-o-hayyā-'alal-falāh
aankhon mein aa gaya hai koi KHwab barmala hayya-’alal-falah-o-hayya-'alal-falah
dasht-e-takHayyulat mein chalne lagi hawa hayya-’alal-falah-o-hayya-'alal-falah
ab ranj-o-gham ki shamen bhi shab mein badal gain ab aaftab-e-husn ki kirnen bhi Dhal gain
hone ko ’an-qarib hai waqt-e-sahar suna hayya-’alal-falah-o-hayya-'alal-falah
tum ne wafa ke wa'de wafa kar liye chalo KHud ko uThao sine mein mahshar liye chalo
taswir-e-kaenat ka naqsha badal chuka hayya-’alal-falah-o-hayya-'alal-falah
yaum-e-alast yaad hai aur yaad hai wo baat wo ek baat jis ke sabab hai ye kainat
tum ko jawab mil hi gaya is sawal ka hayya-’alal-falah-o-hayya-'alal-falah
yun to bahaar-e-waqt muin ki hai asir shadabiyat bhi chand zamanon ki hai aKHir
jawed hona chahta hai to qadam baDha hayya-’alal-falah-o-hayya-'alal-falah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.