dar pe kisi ke aa gaya dair-o-haram ko dekh kar
dar pe kisi ke aa gaya dair-o-haram ko dekh kar
Ghulam Ahmad Gilimi
MORE BYGhulam Ahmad Gilimi
dar pe kisī ke aa gayā dair-o-haram ko dekh kar
sajde meñ sab sanam gire mere sanam ko dekh kar
murde bhī jī uThe yahāñ shān-e-karam ko dekh kar
jaan meñ jaan aa ga.ī us ke qadam ko dekh kar
manzil kā kuchh nahīñ pata chāhiye kahāñ ye rāsta
chalte haiñ bas qadam-qadam naqsh-e-qadam ko dekh kar
us ke haiñ jalve jā-bajā yaar nahīñ kahāñ mirā
barahman yaad aa gayā shaiḳh-e-haram ko dekh kar
‘gilīmī’ chhup sake rāz-o-niyāz-e-'āshqī
sab hī samajh ga.e yahāñ dīda-e-nam ko dekh kar
dar pe kisi ke aa gaya dair-o-haram ko dekh kar
sajde mein sab sanam gire mere sanam ko dekh kar
murde bhi ji uThe yahan shan-e-karam ko dekh kar
jaan mein jaan aa gai us ke qadam ko dekh kar
manzil ka kuchh nahin pata chahiye kahan ye rasta
chalte hain bas qadam-qadam naqsh-e-qadam ko dekh kar
us ke hain jalwe ja-baja yar nahin kahan mera
barahman yaad aa gaya shaiKH-e-haram ko dekh kar
‘gilimi’ chhup sake raaz-o-niyaz-e-'ashqi
sab hi samajh gae yahan dida-e-nam ko dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.