Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hai dard mujhe ye subh-o-masa sanama sanama sanama sanama

Shah Siddique Saudagar

hai dard mujhe ye subh-o-masa sanama sanama sanama sanama

Shah Siddique Saudagar

MORE BYShah Siddique Saudagar

    hai dard mujhe ye sub.h-o-masā sanamā sanamā sanamā sanamā

    vo rū-e-munavvar apnā dikhā sanamā sanamā sanamā sanamā

    vahdat meñ nihāñ kasrat meñ 'ayāñ socho to mayāñ vo hogā kahāñ

    har ġhaib se hai vo jalva numā sanamā sanamā sanamā sanamā

    tirī dekh jhapak meñ mar gayā tirī ātish-e-'ishq meñ jal gayā

    mujh meñ baqā maiñ tujh meñ fanā sanamā sanamā sanamā sanamā

    hai arz pe kul tashbīh dharī bālā-e-samāñ tanziya bharī

    haiñ donoñ jam' mujh meñ yakjā sanamā sanamā sanamā sanamā

    hai raaz jahāñ sab mujh pe 'ayāñ kyā jinn-o-parī kyā hūr-o-jināñ

    jab se ki ye dil ā.īna banā sanamā sanamā sanamā sanamā

    ik dam meñ yahāñ se huuñ maiñ vahāñ ik aan vahāñ huuñ maiñ yahāñ

    maiñ tujh meñ ḳhalā mujh meñ milā sanamā sanamā sanamā sanamā

    har ġhair huā hai terā 'ain vo 'ain tirā hai nūrul-'ain

    is 'ain meñ 'ain hai nuqta sanamā sanamā sanamā sanamā

    sunte haiñ ki hai ik 'saudā-gar' thā ḳhaak rah-e-kū-e-dilbar

    kaf-e-pā se tire iksīr banā sanamā sanamā sanamā sanamā

    hai dard mujhe ye subh-o-masa sanama sanama sanama sanama

    wo ru-e-munawwar apna dikha sanama sanama sanama sanama

    wahdat mein nihan kasrat mein 'ayan socho to mayan wo hoga kahan

    har ghaib se hai wo jalwa numa sanama sanama sanama sanama

    teri dekh jhapak mein mar hi gaya teri aatish-e-'ishq mein jal hi gaya

    tu mujh mein baqa main tujh mein fana sanama sanama sanama sanama

    hai arz pe kul tashbih dhari baala-e-saman tanziya bhari

    hain donon jam' mujh mein yakja sanama sanama sanama sanama

    hai raaz jahan sab mujh pe 'ayan kya jinn-o-pari kya hur-o-jinan

    jab se ki ye dil aaina bana sanama sanama sanama sanama

    ek dam mein yahan se hun main wahan ek aan wahan ka hun main yahan

    main tujh mein KHala tu mujh mein mila sanama sanama sanama sanama

    har ghair hua hai tera 'ain wo 'ain tera hai nurul-'ain

    is 'ain mein 'ain ka hai nuqta sanama sanama sanama sanama

    sunte hain ki hai ek 'sauda-gar' tha KHak rah-e-ku-e-dilbar

    kaf-e-pa se tere iksir bana sanama sanama sanama sanama

    Source :
    • Book : Diwan-e-Saudagar (Pg. 61)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now