ya-laita saba qutub-nagri mohe pi ki khabariya suna to sahi
ya-laita saba qutub-nagri mohe pi ki khabariya suna to sahi
Tahir Moradabadi
MORE BYTahir Moradabadi
yā-laita sabā qutub-nagrī mohe pī kī khabariyā sunā to sahī
mor chain gayā morī niiñd ga.ī vā kī nik.hat zulf suñghā to sahī
za-firāq-e-tū bar man hāl-e-zabūñ jo guzartī hai biptā vo kis se kahūñ
toye ghaT meñ rakhūñ kabhī jaa.e na-deva morī nainoñ meñ aa ke samā to sahī
chū roz-e-azal tu ba-guft za-mā torī batiyāñ vo sagarī haiñ yaad piyā
vo hī lab pe hai naġhma-e-qālū-balā tū alast kī murlī bajāvat hai
use dil to 'abas ghabrāvat hai morī
torā shyām khenā vo aavat hai vaakī raah meñ palkan bichhā to sahī
mujhe raah meñ dekh ke more kuñvar kā ho kaisī na lutf-o-karam kī najar
gahe guft na az man ḳhasta-jigar ki tu jaat kahāñ zarā aa to sahī
bar hāl-e-tabāh minnat ban kar piyā niiñd na aavat āTh-pahar
mohe suunī sajariyā pe laage hai Dar jarā loriyāñ gā ke sulā to sahī
chu ba-taiba guzar ga.ī bād-e-sabā to ye kahnā nabī jī se bahar-e-ḳhudā
ek 'tāhir'-e-zār jo hind meñ hai vā ko apne dvāre bulā to sahī
ya-laita saba qutub-nagri mohe pi ki khabariya suna to sahi
mor chain gaya mori nind gai wa ki nikhat zulf sungha to sahi
za-firaq-e-tu bar man haal-e-zabun jo guzarti hai bipta wo kis se kahun
toye ghaT mein rakhun kabhi jae na-dewa mori nainon mein aa ke sama to sahi
chu roz-e-azal tu ba-guft za-ma tori batiyan wo sagari hain yaad piya
wo hi lab pe hai naghma-e-qalu-bala tu alast ki murli bajawat hai
use dil to 'abas ghabrawat hai mori
tora shyam khena wo aawat hai waki rah mein palkan bichha to sahi
mujhe rah mein dekh ke more kunwar ka ho kaisi na lutf-o-karam ki najar
gahe guft na az man KHasta-jigar ki tu jat kahan zara aa to sahi
bar haal-e-tabah minnat ban kar piya nind na aawat aaTh-pahar
mohe suni sajariya pe lage hai Dar jara loriyan ga ke sula to sahi
chu ba-taiba guzar gai baad-e-saba to ye kahna nabi ji se bahar-e-KHuda
ek 'tahir'-e-zar jo hind mein hai wa ko apne dware bula to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.